paikar
badan meñ mīThe mīThe dard kī ḳhushbū basī hai
thakan chādar banī lipTī huī hai
sunahrī shahd jaisī niiñd
palkoñ ko baham joḌe hue
ḳhvāboñ ke jhūle meñ
abhī kuchh aur peñgeñ chāhtī hai
nīm-tārīkī khiñche pardoñ se lag kar ūñghtī hai
kiran dahlīz par Thahrī huī hai
mulā.em sā ujālā zid meñ aa kar
khiḌkiyoñ par dastakeñ detā chalā jaatā hai
khaT khaT khaT
uTho ki zindagī kī razm-gāheñ muntazir haiñ
razm-gāheñ
jin meñ dil mazbūt kar ke kuud paḌnā hai
ka.ī jihtoñ meñ laḌnā hai
sabhī apnī baqā kī jang meñ masrūf haiñ
ārām-o-itmīnān kaisā
baqā kī jang meñ ġhaflat kī gunjā.ish nahīñ hai
hamārī zindagī meñ niiñd aur ḳhvāboñ kī āsā.ish nahīñ hai
badan mein miThe miThe dard ki KHushbu basi hai
thakan chadar bani lipTi hui hai
sunahri shahd jaisi nind
palkon ko baham joDe hue
KHwabon ke jhule mein
abhi kuchh aur pengen chahti hai
nim-tariki khinche pardon se lag kar unghti hai
kiran dahliz par Thahri hui hai
mulaem sa ujala zid mein aa kar
khiDkiyon par dastaken deta chala jata hai
khaT khaT khaT
uTho ki zindagi ki razm-gahen muntazir hain
razm-gahen
jin mein dil mazbut kar ke kud paDna hai
kai jihton mein laDna hai
sabhi apni baqa ki jang mein masruf hain
aaram-o-itminan kaisa
baqa ki jang mein ghaflat ki gunjaish nahin hai
hamari zindagi mein nind aur KHwabon ki aasaish nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.