paiman-e-wafa
mere ghar kī ye dīvāreñ jaise pī kar baiThī haiñ
mere jalte jalte aañsū mere lahū kī barsātoñ ko
merī tanhā.ī ke añdhere meñ aa aa kar hañste haiñ
nanhe nanhe kitne jugnū merī bhīgī palkoñ ke
bujhe diye kī lau rah rah kar aadhī aadhī rātoñ ko
apnī gahrī niiñd se jaise chauñk uThtī hai bol uThtī hai
āshāoñ ke sundar mukhḌe par laalī sī aa jaatī hai
murjhā.e se nīl-kañval kā aur bhī ruup nikhar aatā hai
dhīre dhīre shītal jal kī lahreñ saaz uThātī haiñ
gītoñ kī nirmal dhārā par Dol uThtī hai jīvan-nayyā
haule haule bahtī jaa.e bahtī jaa.e chaltī jaa.e
samay kī naddī vo naddī hai jo har ik ko paar lagā.e
naddī ke us paar khaḌe haiñ mere bachche mere baale
mere khetoñ ke sab motī mere ḳhazāne ke rakhvāle
merī taraf sab haath uThā kar jaise ḳhushī se chillāte haiñ
aao aao kitnī der se raah tumhārī dekh rahe haiñ
tum ko aaj ke din sūraj kī kirnoñ meñ nahlā.enge
aaj ham apnī sālgirah kā pahlā jashn manāeñge
mere ghar ki ye diwaren jaise pi kar baiThi hain
mere jalte jalte aansu mere lahu ki barsaton ko
meri tanhai ke andhere mein aa aa kar hanste hain
nanhe nanhe kitne jugnu meri bhigi palkon ke
bujhe diye ki lau rah rah kar aadhi aadhi raaton ko
apni gahri nind se jaise chaunk uThti hai bol uThti hai
aashaon ke sundar mukhDe par lali si aa jati hai
murjhae se nil-kanwal ka aur bhi rup nikhar aata hai
dhire dhire shital jal ki lahren saz uThati hain
giton ki nirmal dhaara par Dol uThti hai jiwan-nayya
haule haule bahti jae bahti jae chalti jae
samay ki naddi wo naddi hai jo har ek ko par lagae
naddi ke us par khaDe hain mere bachche mere baale
mere kheton ke sab moti mere KHazane ke rakhwale
meri taraf sab hath uTha kar jaise KHushi se chillate hain
aao aao kitni der se rah tumhaari dekh rahe hain
tum ko aaj ke din suraj ki kirnon mein nahlaenge
aaj hum apni salgirah ka pahla jashn manaenge
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 156)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.