paiman-e-wafa
raushnī kī ek halkī sī kiran
zulm ke gahre añdheroñ se uThī
duur jā kar jagmagātī barf ke
koh-e-pur-anvār meñ gum ho ga.ī
phuul niilā āsmāñ ruḳhsār-o-lab
us kiran kī raah meñ yuuñ aa ga.e
ham ki jo naqd-e-dil-o-jāñ le ke saath
dard kī rāhoñ pe the mahv-e-safar
apne hī ādarsh se sharmā ga.e
hañs rahā hai vaqt kā zaḳhmī kañval
zindagī kī is sunahrī maat par
ahl-e-dil phir bhī ravāñ haiñ sū-e-dār
tohfa-e-jāñ le ke apne haat par
ham ne chāhā thā use har bazm meñ
ab bhī chāheñge use har moḌ par
qatl-gāh-e-zindagī meñ har ghaḌī
ab bhī DhūñDegī use apnī nazar
raushni ki ek halki si kiran
zulm ke gahre andheron se uThi
dur ja kar jagmagati barf ke
koh-e-pur-anwar mein gum ho gai
phul nila aasman ruKHsar-o-lab
us kiran ki rah mein yun aa gae
hum ki jo naqd-e-dil-o-jaan le ke sath
dard ki rahon pe the mahw-e-safar
apne hi aadarsh se sharma gae
hans raha hai waqt ka zaKHmi kanwal
zindagi ki is sunahri mat par
ahl-e-dil phir bhi rawan hain su-e-dar
tohfa-e-jaan le ke apne hat par
hum ne chaha tha use har bazm mein
ab bhi chahenge use har moD par
qatl-gah-e-zindagi mein har ghaDi
ab bhi DhunDegi use apni nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.