pal bhar ka mehman
kaun aayā hai
ye kis ne phūñk kar rakhe qadam
dahlīz par chup-chāp choroñ kī tarah
raat kī tārīkiyoñ meñ sarsarāhaT saañp kī
saañs ko siine ke andar rok lo
sun na le qadmoñ kī aahaT
dil kī dhaḌkan ko kaho chup saadh le
dil kā dar vā to na thā
par vo to darvāze se andar aa gayā
us ne dastak bhī na dī
ek saa.e kī tarah hai saath saath
kyā kareñ kis ko bulā.eñ
kyā kaheñ ye kaun hai
chup-chāp be-āvāz
gum-sum sāmne baiThā huā
yuuñ to sab kuchh hai
agar socho to ye kuchh bhī nahīñ
vahm-o-gumāñ
kaun ab DhūñDe use
vo to aa kar raat kī tārīkiyoñ meñ
is tarah ghul-mil gayā
jaise apnā jism ho us kā libās
ham ne dekhā hai use
jo ḳhud se bhī rū-posh hai
vo hamārī ruuh kī gardish meñ hai
aur hamāre jism se sairāb hai
ab agar tum so sako to so raho
ab vo jā.egā kahāñ
ab vo shāyad phir na aa.egā kabhī
kaun aaya hai
ye kis ne phunk kar rakhe qadam
dahliz par chup-chap choron ki tarah
raat ki tarikiyon mein sarsarahaT sanp ki
sans ko sine ke andar rok lo
sun na le qadmon ki aahaT
dil ki dhaDkan ko kaho chup sadh le
dil ka dar wa to na tha
par wo to darwaze se andar aa gaya
us ne dastak bhi na di
ek sae ki tarah hai sath sath
kya karen kis ko bulaen
kya kahen ye kaun hai
chup-chap be-awaz
gum-sum samne baiTha hua
yun to sab kuchh hai
agar socho to ye kuchh bhi nahin
wahm-o-guman
kaun ab DhunDe use
wo to aa kar raat ki tarikiyon mein
is tarah ghul-mil gaya
jaise apna jism ho us ka libas
hum ne dekha hai use
jo KHud se bhi ru-posh hai
wo hamari ruh ki gardish mein hai
aur hamare jism se sairab hai
ab agar tum so sako to so raho
ab wo jaega kahan
ab wo shayad phir na aaega kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.