pal-do-pal
bas
pal-do-pal kī baat hai
be-sabab pareshāñ hote ho
tumheñ kis baat kā ġham hai
kyuuñ udaas rahte ho
dekho
in nazāroñ ko
mast ābshāroñ ko
nadiyoñ aur pahāḌoñ ko
sūraj
chāñd
sitāroñ ko
galiyoñ ko bāzāroñ ko
shāyad tum bahal jaao
socho jab tum aa.e the
is tarah ro rahe the
jaise bachche ke haath se khilaunā chhin gayā ho
phir tum ne jo kuchh liyā yahīñ se liyā
jo kuchh bhī diyā yahīñ pe diyā
phir kyuuñ udaas rahte ho
bas pal-do-pal kī baat hai
tum be-sabab pareshāñ hote ho
bas
pal-do-pal ki baat hai
be-sabab pareshan hote ho
tumhein kis baat ka gham hai
kyun udas rahte ho
dekho
in nazaron ko
mast aabshaaron ko
nadiyon aur pahaDon ko
suraj
chand
sitaron ko
galiyon ko bazaron ko
shayad tum bahal jao
socho jab tum aae the
is tarah ro rahe the
jaise bachche ke hath se khilauna chhin gaya ho
phir tum ne jo kuchh liya yahin se liya
jo kuchh bhi diya yahin pe diya
phir kyun udas rahte ho
bas pal-do-pal ki baat hai
tum be-sabab pareshan hote ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.