pal
ḳhvāboñ kī ūñchī uḌaan
apne paroñ par biThā kar
mujhe duur ufuq tak
uḌā le jaatī hai
yahī to haiñ vo pal
jab tumheñ pā kar
maiñ ḳhud kahīñ kho jaatī huuñ
kuchh der jī lene ke ba.ad
kuchh soch kar
ḳhvāboñ ke in maḳhmalī paroñ se
phisal kar
maiñ phir se haqīqat kī pathrīlī zamīñ par
utar aatī huuñ
man to ab bhī rahtā hai
tumhāre hī paas
magar maiñ
maiñ us duniyā kī ho jaatī huuñ
KHwabon ki unchi uDan
apne paron par biTha kar
mujhe dur ufuq tak
uDa le jati hai
yahi to hain wo pal
jab tumhein pa kar
main KHud kahin kho jati hun
kuchh der ji lene ke baad
kuchh soch kar
KHwabon ke in maKHmali paron se
phisal kar
main phir se haqiqat ki pathrili zamin par
utar aati hun
man to ab bhi rahta hai
tumhaare hi pas
magar main
main us duniya ki ho jati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.