palaT aao
palaT aao
ki ḳhvāboñ kī zamīnoñ par
kisī duniyā kā shahzāda
ka.ī qarnoñ
ka.ī sadiyoñ se terī yaad kī chhāñv meñ baiThā hai
use izn-e-huzūrī do
ki us kī munjamid barfāb āñkhoñ meñ ḳhushī kī titliyāñ utreñ
palaT aao
ki ab bhī shahr kī galiyāñ
tumhāre paaoñ kī hiddat pe martī
bas tumheñ āvāz detī haiñ
diye har aane vaale se
tum.hārā pūchhte haiñ
aur darvāze tumhārī āhaToñ meñ gum magar tum
dūriyoñ ke shahr se bhī
duur baiThe ho
jahāñ āvāz bhī jaane se Dartī hai
palaT aao
ki ab bhī rāste ummīd kī ḳhushbū se mahke haiñ
ki tanhā.ī
hamārī ruuh ke sāhil pe jab bhī bain kartī hai
tumhārā naam letī hai
havā jab gungunātī hai
to us ke surma.ī hoñToñ se
tere dard meñ Duube hue lamhoñ kī kachchī bor uḌtī hai
palaT aao
ki ab ham devtāoñ kī tarah ḳhāmosh rah rah kar
tumhāre hijr ke āzār sah sah kar
bahut hī thak chuke haiñ
hameñ ab niiñd ke lambe safar par lauT jaanā hai
jahāñ ham ne zamāne kī nigāhoñ se pare
ik aur hī manzar basānā hai
palaT aao
ki ye lamhe hamārā maañs khāne par tule haiñ
zindagī bārūd ban kar jism-o-jāñ meñ dauḌtī hai
aañkh pathrā.ī huī hai
haath shal haiñ
aur ham pe maut sī chhā.ī huī hai
palaT aao
ki dil kī dhaḌkaneñ ab bhī
tumhāre naam kī tasbīh
sub.h shaam paḌhtī haiñ
palaT aao
ki KHwabon ki zaminon par
kisi duniya ka shahzada
kai qarnon
kai sadiyon se teri yaad ki chhanw mein baiTha hai
use izn-e-huzuri do
ki us ki munjamid barfab aankhon mein KHushi ki titliyan utren
palaT aao
ki ab bhi shahr ki galiyan
tumhaare paon ki hiddat pe marti
bas tumhein aawaz deti hain
diye har aane wale se
tumhaara puchhte hain
aur darwaze tumhaari aahaTon mein gum magar tum
duriyon ke shahr se bhi
dur baiThe ho
jahan aawaz bhi jaane se Darti hai
palaT aao
ki ab bhi raste ummid ki KHushbu se mahke hain
ki tanhai
hamari ruh ke sahil pe jab bhi bain karti hai
tumhaara nam leti hai
hawa jab gungunati hai
to us ke surmai honTon se
tere dard mein Dube hue lamhon ki kachchi bor uDti hai
palaT aao
ki ab hum dewtaon ki tarah KHamosh rah rah kar
tumhaare hijr ke aazar sah sah kar
bahut hi thak chuke hain
hamein ab nind ke lambe safar par lauT jaana hai
jahan hum ne zamane ki nigahon se pare
ek aur hi manzar basana hai
palaT aao
ki ye lamhe hamara mans khane par tule hain
zindagi barud ban kar jism-o-jaan mein dauDti hai
aankh pathrai hui hai
hath shal hain
aur hum pe maut si chhai hui hai
palaT aao
ki dil ki dhaDkanen ab bhi
tumhaare nam ki tasbih
subh sham paDhti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.