panah
fazā meñ muallaq
ye shāḳheñ haiñ
yā jaḌeñ haiñ
us būḌhe bargad kī
jis pe zamīn tañg ho ga.ī hai
hamārī tarah
jis ko vaqt ne be-vaqt kiyā hai
zamīn ek had tak panāh-gāh hotī hai
āsmān kī panāh kī had koī nahīñ
ye shāḳheñ jo dūsrā ruup haiñ jaḌoñ kā
zamīn se palaT kar āsmān kī khetī meñ ugne ko be-tāb haiñ
āsmān aur zamīn ke darmiyān
bandoñ ke azhdahām meñ
kaun hai?
jo bargad kī āġhosh vā kiye
merī raah dekhtā hai
faza mein muallaq
ye shaKHen hain
ya jaDen hain
us buDhe bargad ki
jis pe zamin tang ho gai hai
hamari tarah
jis ko waqt ne be-waqt kiya hai
zamin ek had tak panah-gah hoti hai
aasman ki panah ki had koi nahin
ye shaKHen jo dusra rup hain jaDon ka
zamin se palaT kar aasman ki kheti mein ugne ko be-tab hain
aasman aur zamin ke darmiyan
bandon ke azhdaham mein
kaun hai?
jo bargad ki aaghosh wa kiye
meri rah dekhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.