ik jangal meñ aag lagī hai
saarī nadiyāñ suukh rahī haiñ
do deshoñ meñ jang chhiḌ ga.ī
logoñ meñ sadbhāv nahīñ hai
arthavyavasthā Duub rahī hai
phir dollar kā bhaav baḌh gayā
ab ke vetan kam aa.egā
ḳharchoñ par control nahīñ hai
tabhī achānak merī bachchī
shirt khīñch kar zid kartī hai
aao na paapā ghar ghar kheleñ
maiñ hairāñ huuñ
itne dukhoñ kā ek ilaaj
aur itnā āsāñ
ek jangal mein aag lagi hai
sari nadiyan sukh rahi hain
do deshon mein jang chhiD gai
logon mein sadbhaw nahin hai
arthawyawastha Dub rahi hai
phir dollar ka bhaw baDh gaya
ab ke wetan kam aaega
KHarchon par control nahin hai
tabhi achanak meri bachchi
shirt khinch kar zid karti hai
aao na papa ghar ghar khelen
main hairan hun
itne dukhon ka ek ilaj
aur itna aasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.