panah-KHwahon ke markaz mein saneha
vahī zar-kār zulfeñ thiiñ
vahī afrangiyoñ kī nīlgūñ āñkheñ
koī mahrūm-e-taḳht-o-tāj shahzādī
kisī luuTī huī bastī kī barbādī
panah-ḳhvāhoñ ke markaz meñ khaḌī thī
ik ḳhayāl-e-zard kī sūrat
sharār-e-sard kī sūrat
vo un rāhoñ se aa.ī thī jahāñ par ġhol phirte haiñ
jahāñ dukh dandanāte haiñ jahāñ par haul phirte haiñ
jise us ke badan se jo milā us kā uThā kar le gayā thā
koī baazū koī gardan koī siina churā kar le gayā thā
vufūr-e-shauq se maiñ us kī jānib haath phailā.e baḌhā
abhī maiñ us ko apnā jaan kar do bol hamdardī ke bolūñgā
magar ye soch kar maiñ Dar gayā
mire qadmoñ se us ke jism tak kā fāsla jaise lahū se bhar gayā
vo nasrānī nikal aa.ī to paḌhne vaalī girheñ maiñ kaise kholūñgā
panah-ḳhvāhoñ ke markaz meñ
numā.inda thā maiñ markaz kā
vo faqat ik posnī ma.asūm laḌkī thī
wahi zar-kar zulfen thin
wahi afrangiyon ki nilgun aankhen
koi mahrum-e-taKHt-o-taj shahzadi
kisi luTi hui basti ki barbaadi
panah-KHwahon ke markaz mein khaDi thi
ek KHayal-e-zard ki surat
sharar-e-sard ki surat
wo un rahon se aai thi jahan par ghol phirte hain
jahan dukh dandanate hain jahan par haul phirte hain
jise us ke badan se jo mila us ka uTha kar le gaya tha
koi bazu koi gardan koi sina chura kar le gaya tha
wufur-e-shauq se main us ki jaanib hath phailae baDha
abhi main us ko apna jaan kar do bol hamdardi ke bolunga
magar ye soch kar main Dar gaya
mere qadmon se us ke jism tak ka fasla jaise lahu se bhar gaya
wo nasrani nikal aai to paDhne wali girhen main kaise kholunga
panah-KHwahon ke markaz mein
numainda tha main markaz ka
wo faqat ek posni masum laDki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.