panchhi te pardesi
parinde aur pardesī kabhī vāpas nahīñ aate
jilā-vatnoñ ke paañv ke tale
dhartī baḌī kamzor hotī hai
kabhī rasta nahīñ hotā
kabhī saaya nahīñ hotā
shajar kī ārzueñ dhuup ke aañsū bahātī haiñ
magar bārish nahīñ hotī
parinde aur pardesī kabhī vāpas nahīñ aate
duā.eñ gaThriyoñ meñ bāñdh kar
chaukhaT pe baiThī
maaoñ ke patthar vajūdoñ par
kabhī miTTī nahīñ hotī
kabhī sabza nahīñ ugtā
parinde aur pardesī
agar vāpas kabhī aa.eñ to
saare lok gītoñ dāstānoñ
aur miTTī meñ amānat kī huī āñkhoñ ko
apne saath le jā.eñ!
parinde aur pardesi kabhi wapas nahin aate
jila-watnon ke panw ke tale
dharti baDi kamzor hoti hai
kabhi rasta nahin hota
kabhi saya nahin hota
shajar ki aarzuen dhup ke aansu bahati hain
magar barish nahin hoti
parinde aur pardesi kabhi wapas nahin aate
duaen gaThriyon mein bandh kar
chaukhaT pe baiThi
maon ke patthar wajudon par
kabhi miTTi nahin hoti
kabhi sabza nahin ugta
parinde aur pardesi
agar wapas kabhi aaen to
sare lok giton dastanon
aur miTTi mein amanat ki hui aankhon ko
apne sath le jaen!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 80)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.