pand-nama
Interesting Fact
Josh, in his Nazm 'Pand-Nama', exhorts Majaz to abstain from excessive drinking. A rakish poet like Majaz, too, replied to Josh's Nazm by way of his Nazm 'Ba-Jawaab-e-Pand-Naama'. A funny anecdote is also related to this episode, Josh said to Majaz, 'Drink as you wish, but keep a watch (GhaDi) in front of you, to which Majaz instantly replied, 'I drink, but keeping a pot (GhaDa) afront'!
ai majāz ai tarāna-bār majāz
zinda paiġhambar-e-bahār majāz
ai barū-e-saman-vishāñ gul-posh
ai ba kū-e-muġhāñ tamām ḳharosh
ai parastār-e-mah-ruḳhān-e-jahāñ
ai kamāñ-dār-e-shā.irān-e-javāñ
tujh se tābāñ jabīn-e-mustaqbil
ai mire sīna-e-umīd ke dil
ai majāz ai mubassir-e-ḳhad-o-ḳhāl
ai shu.ūr-e-jamāl o sham-e-ḳhayāl
ai surayyā-fareb o zohra-navāz
shā.ir-e-mast o rind-e-shāhid-bāz
nāqid-e-ishva-e-shabāb hai tū
sub.h-e-fardā kā āftāb hai tū
tujh ko aayā huuñ aaj samjhāne
haif hai tū agar burā maane
ḳhud ko ġharq-e-sharāb-e-nāb na kar
dekh apne ko yuuñ ḳharāb na kar
shā.irī ko tirī zarūrat hai
daur-e-fardā kī tū amānat hai
sirf terī bhalā.ī ko ai jaañ
ban ke aayā huuñ nāseh-e-nādāñ
ek Thahrāv ik takān hai tū
dekh kis darja dhān-pān hai tū
nañg hai mahz ustuḳhāñ honā
saḳht ihānat hai nā-tavāñ honā
ustuḳhvānī badan duḳhānī post
ek sañgīn jurm hai ai dost
sharm kī baat hai vajūd-e-saqīm
nā-tavānī hai ik gunāh-e-azīm
jism aur ilm turfa tāqat hai
yahī insān kī nubuvvat hai
jo za.īf-o-alīl hotā hai
ishq meñ bhī zalīl hotā hai
har hunar ko jo ek daulat hai
ilm aur jism kī zarūrat hai
kasrat-e-bāda rañg laatī hai
aadmī ko lahū rulātī hai
ḳhush-diloñ ko rulā ke hañstī hai
sham-e-aḳhtar bujhā ke hañstī hai
aur jab aafat jigar pe laatī hai
riñd ko maulvī banātī hai
mai se hotā hai maqsad-e-dil faut
mai hai buniyād-e-maulviyyat-o-maut
kaan meñ sun ye baat hai nashtar
maulviyyat hai maut se bad-tar
is se hotā hai kār-e-umr tamām
is se hotā hai aql ko sarsām
is meñ insāñ kī jaan jaatī hai
is meñ shā.ir kī aan jaatī hai
ye zamīn āsmān kyā shai hai
aan jaa.e to jaan kyā shai hai
gauhar-e-shāh-vār chun pyāre
mujh se ik gur kī baat sun pyāre
ġham to bantā hai chaar din meñ nashāt
shādmānī se rah bahut mohtāt
ġham ke maare to jī rahe haiñ hazār
nahīñ bachte haiñ aish ke bīmār
aan meñ dil ke paar hotī hai
pañkhuḌī meñ vo dhaar hotī hai
jū-e-ishrat meñ ġham ke dhāre haiñ
yaḳh-o-shabnam meñ bhī sharāre haiñ
haañ sambhal kar latāfatoñ ko barat
TuuT jaa.e kahīñ na koī parat
dekh kar shīsha-e-nashāt uThā
ye varaq hai varaq hai sone kā
kāġhaz-e-bād ye nagīna hai
balki ai dost ābgīna hai
sāġhar-e-shabnam-e-ḳhush-āb hai ye
ābgīna nahīñ habāb hai ye
rok le saañs jo qarīb aa.e
Thes us ko kahīñ na lag jaa.e
teġh-e-mastī ko ehtiyāt se chhū
varna Tapkegā uñgliyoñ se lahū
mastiyoñ meñ hai tāb-e-jalva-e-māh
aur siyah mastiyāñ ḳhudā kī panāh
ḳhuub hai ek had pe qaa.em nasha
halkā phulkā subuk mulā.em nasha
haañ adab se uThā adab se jaam
taaki āb-e-halāl ho na harām
jaam par jaam jo chaḌhāte haiñ
uuñT kī tarah bilbilāte haiñ
zindagī kī havas meñ marte haiñ
mai ko rusvā-e-dahr karte haiñ
yaad hai jab 'jigar' chaḌhāte the
kyā alif ho ke hin-hināte the
merī gardan meñ bhar ke chand aaheñ
paañv se Dālte the vo bāñheñ
aql kī maut ilm kī pastī
al-amāñ la.anat-e-siyah mastī
uf ghaTā-Top nashshe kā tūfān
bhuut ifrīt dev jin shaitān
laat ghūñsa chhaḌī chhurī chāqū
lib-libāhaT luaab kaf badbū
tanz āvāza barhamī ifsād
ta.an tashnī.a maz.haka īrād
shor hū-haq abe-tabe hai hai
aukhiyāñ gāliyāñ dhamāke qai
mas-masāhaT ġhashī tapish chakkar
soz sailāb sansanī sarsar
chal-chaḳhe chīḳh chunāñ-chunīñ chiñghāḌ
chaḳh-chaḳhe chā.ūñ chā.ūñ chīl-chilhāḌ
lappā-Dukki latām laam laḌā.ī
haul haijān haañk hāthā-pā.ī
khalbalī kaaoñ kaaoñ khaT-manDal
hauñk hañgāma hamhama halchal
uljhan āvārgī udham aiThan
bhauñk bhauñ bhauñ bhinan bhinan bhan-bhan
dhaul-dhappā dhakaḌ-pakaḌ dhutkār
tahlka tū taḌāq tuf takrār
bū bhabhak bhay bikas barar bhauñchāl
dabdabe dandanāhaTeñ dhammāl
gaah narmī o lutf o mehr o salām
gaah talḳhī o turshī o dushnām
aql kī maut ilm kī pastī
al-amāñ la.anat-e-siyah mastī
sirf nashshe kī bhīgne de maseñ
in ko banñe na de kabhī moñchheñ
al-amāñ ḳhaufnāk kaalā nasha
oh rīsh-o-burūt vaalā nasha
azhdar-e-marg o dev-e-ḳhūñ-ḳhvārī
al-amāñ nashsha-e-''jaTādhārī''
nashshe kā jhuT-puTā hai nūr-e-hayāt
jhuTpuTe ko banā na kaalī raat
nashshe kī tez raushnī bhī ġhalat
chaudhvīñ kī sī chāñdnī bhī ġhalat
zehn-e-insāñ ko baḳhshtā hai jamāl
nashsha ho jab ye qadr-e-nūr-e-hilāl
ġhurfa-e-aql bheḌ to akasr
par use kach-kachā ke band na kar
raat ko lutf-e-jām hai pyāre
din kā piinā harām hai pyāre
din hai ifrīt-e-āz kī khankār
raat pāzeb nāzukī jhankār
din hai ḳhāshāk ḳhaak dhuul dhuāñ
raat ā.īna anjuman afshāñ
din musallah davāñ kamar basta
raat tāq-o-ravāq-o-gul-dasta
din hai faulād-e-sañg teġh-e-alam
raat kam-ḳhvāb pañkhuḌī shabnam
din hai shevan duhā.iyāñ dukhḌe
raat mast añkhḌiyāñ javāñ mukhḌe
din kaḌī dhuup kī bad-āhañgī
raat pichhle pahar kī sārañgī
din bahādur kā baan biir kī rath
raat champā-kalī añgūThī nath
din hai tūfān-e-jumbish-o-raftār
raat mīzān-e-kākul-o-ruḳhsār
āftāb-o-sharāb haiñ bairī
botaleñ din ko haiñ pachhal pairī
kar na pāmāl hurmat-e-auqāt
raat ko din banā na din ko raat
pī magar sirf shaam ke hañgām
aur vo bhī ba-qadr-e-yak-do jaam
vahī insāñ hai ḳhurram-o-ḳhursand
jo hai miqdār o vaqt kā pāband
mere piine hī par na jā mirī jaañ
mujh se jiinā bhī siikh haiñ qurbāñ
us ke piine meñ rañg aatā hai
jis ko jiine kā Dhañg aatā hai
ye nasā.eh bahut haiñ besh-bahā
jald so jald jaag jald nahā
baaġh meñ jā tulūa se pahle
tā nigār-e-sahar se dil bahle
sarv-o-shamshād ko gale se lagā
har chaman-zād ko gale se lagā
muñh añdhere fazā-e-gulshan dekh
sāhil o sabza-zār o sausan dekh
gaah āvāra abr-pāre dekh
in kī raftār meñ sitāre dekh
jaise kohre meñ tāb-e-rū-e-nikū
jaise jañgal meñ raat ko jugnū
gul kā muñh chuum ik tarannum se
nahr ko gudgudā tabassum se
jism ko kar araq se nam-ālūd
taaki shabnam paḌhe lahak ke darūd
pheñk sanjīdgī kā sar se baar
naach uchhal dandanā chhalāñgeñ maar
dekh āb-e-ravāñ kā ā.īna
dauḌ sāhil pe taan kar siina
mast chiḌiyoñ kā chahchahānā sun
mauj-e-nau-mashq kā tarāna sun
bostāñ meñ sabā kā chalnā dekh
sabza o sarv kā machalnā dekh
shabnam-ālūd kar suḳhan kā libās
chakh dhundalke meñ bū-e-gul kī miThās
shā.irī ko khilā havā-e-sahar
is kā nafqa hai terī gardan par
raqs kī lahr meñ ho gum lab-e-nahr
yuuñ adā kar urūs-e-sher kā mahr
jazb kar bostāñ ke naqsh-o-nigār
zehan meñ khol misr kā bāzār
narm jhoñkoñ kā āb-e-haivāñ pī
bū-e-gul rañg-e-shabnamistāñ pī
gun-gunā kar nazar uThā kar pī
sub.h kā shiir daġhdaġha kar pī
taaki mujre ko aa.eñ kul barkāt
daulat jism o ilm o aql o hayāt
ye na ta.ana na ye ulahnā hai
ek nukta bas aur kahnā hai
ġhaibat-e-nūr ho ki kasrat-e-nūr
zulmat-e-tām ho ki sho.ala-e-tūr
ek sā hai vabāl donoñ kā
tīrgī hai ma.aal donoñ kā
darḳhur-e-sāhab-e-ma.āl nahīñ
har vo shai jis meñ e'tidāl nahīñ
shādmānī se pī nahīñ saktā
jis ko haukā ho jī nahīñ saktā
ai pisar ai barādar ai hamrāz
ban na is tarah duur kī āvāz
koī bīmār tan nahīñ saktā
ḳhādim-e-ḳhalq ban nahīñ saktā
ḳhidmat-e-ḳhalq farz hai tujh par
daur-e-māzī kā qarz hai tujh par
asr-e-hāzir ke shā.ir-e-ḳhuddār
qarz-dārī kī maut se hoshyār
zehn-e-insāniyat ubhār ke jā
zindagānī kā qarz utaar ke jā
tujh pe hindostān naaz kare
umr terī ḳhudā darāz kare
ai majaz ai tarana-bar majaz
zinda paighambar-e-bahaar majaz
ai baru-e-saman-wishan gul-posh
ai ba ku-e-mughan tamam KHarosh
ai parastar-e-mah-ruKHan-e-jahan
ai kaman-dar-e-shairan-e-jawan
tujh se taban jabin-e-mustaqbil
ai mere sina-e-umid ke dil
ai majaz ai mubassir-e-KHad-o-KHal
ai shuur-e-jamal o sham-e-KHayal
ai surayya-fareb o zohra-nawaz
shair-e-mast o rind-e-shahid-baz
naqid-e-ishwa-e-shabab hai tu
subh-e-farda ka aaftab hai tu
tujh ko aaya hun aaj samjhane
haif hai tu agar bura mane
KHud ko gharq-e-sharab-e-nab na kar
dekh apne ko yun KHarab na kar
shairi ko teri zarurat hai
daur-e-farda ki tu amanat hai
sirf teri bhalai ko ai jaan
ban ke aaya hun naseh-e-nadan
ek Thahraw ek takan hai tu
dekh kis darja dhan-pan hai tu
nang hai mahz ustuKHan hona
saKHt ihanat hai na-tawan hona
ustuKHwani badan duKHani post
ek sangin jurm hai ai dost
sharm ki baat hai wajud-e-saqim
na-tawani hai ek gunah-e-azim
jism aur ilm turfa taqat hai
yahi insan ki nubuwwat hai
jo zaif-o-alil hota hai
ishq mein bhi zalil hota hai
har hunar ko jo ek daulat hai
ilm aur jism ki zarurat hai
kasrat-e-baada rang lati hai
aadmi ko lahu rulati hai
KHush-dilon ko rula ke hansti hai
sham-e-aKHtar bujha ke hansti hai
aur jab aafat jigar pe lati hai
rind ko maulwi banati hai
mai se hota hai maqsad-e-dil faut
mai hai buniyaad-e-maulwiyyat-o-maut
kan mein sun ye baat hai nashtar
maulwiyyat hai maut se bad-tar
is se hota hai kar-e-umr tamam
is se hota hai aql ko sarsam
is mein insan ki jaan jati hai
is mein shair ki aan jati hai
ye zamin aasman kya shai hai
aan jae to jaan kya shai hai
gauhar-e-shah-war chun pyare
mujh se ek gur ki baat sun pyare
gham to banta hai chaar din mein nashat
shadmani se rah bahut mohtat
gham ke mare to ji rahe hain hazar
nahin bachte hain aish ke bimar
aan mein dil ke par hoti hai
pankhuDi mein wo dhaar hoti hai
ju-e-ishrat mein gham ke dhaare hain
yaKH-o-shabnam mein bhi sharare hain
han sambhal kar latafaton ko barat
TuT jae kahin na koi parat
dekh kar shisha-e-nashat uTha
ye waraq hai waraq hai sone ka
kaghaz-e-baad ye nagina hai
balki ai dost aabgina hai
saghar-e-shabnam-e-KHush-ab hai ye
aabgina nahin habab hai ye
rok le sans jo qarib aae
Thes us ko kahin na lag jae
tegh-e-masti ko ehtiyat se chhu
warna Tapkega ungliyon se lahu
mastiyon mein hai tab-e-jalwa-e-mah
aur siyah mastiyan KHuda ki panah
KHub hai ek had pe qaem nasha
halka phulka subuk mulaem nasha
han adab se uTha adab se jam
taki aab-e-halal ho na haram
jam par jam jo chaDhate hain
unT ki tarah bilbilate hain
zindagi ki hawas mein marte hain
mai ko ruswa-e-dahr karte hain
yaad hai jab 'jigar' chaDhate the
kya alif ho ke hin-hinate the
meri gardan mein bhar ke chand aahen
panw se Dalte the wo banhen
aql ki maut ilm ki pasti
al-aman lanat-e-siyah masti
uf ghaTa-Top nashshe ka tufan
bhut ifrit dew jin shaitan
lat ghunsa chhaDi chhuri chaqu
lib-libahaT luab kaf badbu
tanz aawaza barhami ifsad
tan tashnia mazhaka irad
shor hu-haq abe-tabe hai hai
aukhiyan galiyan dhamake qai
mas-masahaT ghashi tapish chakkar
soz sailab sansani sarsar
chal-chaKHe chiKH chunan-chunin chinghaD
chaKH-chaKHe chaun chaun chil-chilhaD
lappa-Dukki latam lam laDai
haul haijaan hank hatha-pai
khalbali kaon kaon khaT-manDal
haunk hangama hamhama halchal
uljhan aawargi udham aiThan
bhaunk bhaun bhaun bhinan bhinan bhan-bhan
dhaul-dhappa dhakaD-pakaD dhutkar
tahlka tu taDaq tuf takrar
bu bhabhak bhay bikas barar bhaunchaal
dabdabe dandanahaTen dhammal
gah narmi o lutf o mehr o salam
gah talKHi o turshi o dushnam
aql ki maut ilm ki pasti
al-aman lanat-e-siyah masti
sirf nashshe ki bhigne de masen
in ko banne na de kabhi monchhen
al-aman KHaufnak kala nasha
oh rish-o-burut wala nasha
azhdar-e-marg o dew-e-KHun-KHwari
al-aman nashsha-e-jaTadhaari
nashshe ka jhuT-puTa hai nur-e-hayat
jhuTpuTe ko bana na kali raat
nashshe ki tez raushni bhi ghalat
chaudhwin ki si chandni bhi ghalat
zehn-e-insan ko baKHshta hai jamal
nashsha ho jab ye qadr-e-nur-e-hilal
ghurfa-e-aql bheD to akasr
par use kach-kacha ke band na kar
raat ko lutf-e-jam hai pyare
din ka pina haram hai pyare
din hai ifrit-e-az ki khankar
raat pazeb nazuki jhankar
din hai KHashak KHak dhul dhuan
raat aaina anjuman afshan
din musallah dawan kamar basta
raat taq-o-rawaq-o-gul-dasta
din hai faulad-e-sang tegh-e-alam
raat kam-KHwab pankhuDi shabnam
din hai shewan duhaiyan dukhDe
raat mast ankhDiyan jawan mukhDe
din kaDi dhup ki bad-ahangi
raat pichhle pahar ki sarangi
din bahadur ka ban bir ki rath
raat champa-kali anguThi nath
din hai tufan-e-jumbish-o-raftar
raat mizan-e-kakul-o-ruKHsar
aaftab-o-sharab hain bairi
botalen din ko hain pachhal pairi
kar na pamal hurmat-e-auqat
raat ko din bana na din ko raat
pi magar sirf sham ke hangam
aur wo bhi ba-qadr-e-yak-do jam
wahi insan hai KHurram-o-KHursand
jo hai miqdar o waqt ka paband
mere pine hi par na ja meri jaan
mujh se jina bhi sikh hain qurban
us ke pine mein rang aata hai
jis ko jine ka Dhang aata hai
ye nasaeh bahut hain besh-baha
jald so jald jag jald naha
bagh mein ja tulua se pahle
ta nigar-e-sahar se dil bahle
sarw-o-shamshad ko gale se laga
har chaman-zad ko gale se laga
munh andhere faza-e-gulshan dekh
sahil o sabza-zar o sausan dekh
gah aawara abr-pare dekh
in ki raftar mein sitare dekh
jaise kohre mein tab-e-ru-e-niku
jaise jangal mein raat ko jugnu
gul ka munh chum ek tarannum se
nahr ko gudguda tabassum se
jism ko kar araq se nam-alud
taki shabnam paDhe lahak ke darud
phenk sanjidgi ka sar se bar
nach uchhal dandana chhalangen mar
dekh aab-e-rawan ka aaina
dauD sahil pe tan kar sina
mast chiDiyon ka chahchahana sun
mauj-e-nau-mashq ka tarana sun
bostan mein saba ka chalna dekh
sabza o sarw ka machalna dekh
shabnam-alud kar suKHan ka libas
chakh dhundalke mein bu-e-gul ki miThas
shairi ko khila hawa-e-sahar
is ka nafqa hai teri gardan par
raqs ki lahr mein ho gum lab-e-nahr
yun ada kar urus-e-sher ka mahr
jazb kar bostan ke naqsh-o-nigar
zehan mein khol misr ka bazar
narm jhonkon ka aab-e-haiwan pi
bu-e-gul rang-e-shabnamistan pi
gun-guna kar nazar uTha kar pi
subh ka shir daghdagha kar pi
taki mujre ko aaen kul barkat
daulat jism o ilm o aql o hayat
ye na tana na ye ulahna hai
ek nukta bas aur kahna hai
ghaibat-e-nur ho ki kasrat-e-nur
zulmat-e-tam ho ki shoala-e-tur
ek sa hai wabaal donon ka
tirgi hai maal donon ka
darKHur-e-sahab-e-maal nahin
har wo shai jis mein e'tidal nahin
shadmani se pi nahin sakta
jis ko hauka ho ji nahin sakta
ai pisar ai baradar ai hamraaz
ban na is tarah dur ki aawaz
koi bimar tan nahin sakta
KHadim-e-KHalq ban nahin sakta
KHidmat-e-KHalq farz hai tujh par
daur-e-mazi ka qarz hai tujh par
asr-e-hazir ke shair-e-KHuddar
qarz-dari ki maut se hoshyar
zehn-e-insaniyat ubhaar ke ja
zindagani ka qarz utar ke ja
tujh pe hindostan naz kare
umr teri KHuda daraaz kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.