Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panDora

Rasheed Nisar

panDora

Rasheed Nisar

MORE BYRasheed Nisar

    mire sandūq meñ

    kuchh bhī nahīñ thā chand socheñ thiiñ

    bahut putliyāñ thiiñ aur āñkheñ thiiñ

    jinheñ maiñ aañkh vāloñ dukāñ se maañg laayā thā

    mire sandūq meñ ik martabāñ thā

    jis meñ bādal the havā.eñ thiiñ kisī dariyā quvvat thī

    maiñ apne dukh uThā kar sukh nagrī meñ chalā aaya

    mire sandūq meñ ik aa.ina thā

    jo mujhe chehre dikhātā

    saat darzoñ par jo parde the

    unheñ āhista āhista haTātā

    ziist ke nange badan dāstāñ mujh ko sunātā muskurātā

    mujhe ā.īna gintī bhī sikhātā

    nau adad tak rok detā thā

    mujhe ma.alūm thā

    nau ke adad meñ ism-e-āzam hai

    hayāt-e-nau isī nau ke adad rāz-e-sar-basta

    ye nau din aur nau rātoñ ik rangīñ drama hai

    phir is ke baad

    ḳhālī sifr tak kuchh hone vaalā hai

    mere sanduq mein

    kuchh bhi nahin tha chand sochen thin

    bahut si putliyan thin aur aankhen thin

    jinhen main aankh walon ki dukan se mang laya tha

    mere sanduq mein ek martaban tha

    jis mein baadal the hawaen thin kisi dariya ki quwwat thi

    main apne dukh uTha kar sukh ki nagri mein chala aaya

    mere sanduq mein ek aaina tha

    jo mujhe chehre dikhata

    sat darzon par jo parde the

    unhen aahista aahista haTata

    zist ke nange badan ki dastan mujh ko sunata muskuraata

    mujhe aaina ginti bhi sikhata

    nau adad tak rok deta tha

    mujhe malum tha

    nau ke adad mein ism-e-azam hai

    hayat-e-nau isi nau ke adad ka raaz-e-sar-basta

    ye nau din aur nau raaton ka ek rangin drama hai

    phir is ke baad

    KHali sifr tak kuchh hone wala hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now