pankhuDiyan gulab ki
pañkhuḌiyāñ gulāb kī
subuk subuk sājan kā lams
shafaq kā laal laal rang
nazar-navāz-o-dil-faroz
fazā.eñ jin se mast mast
be-navā sī naġhmagī
samā.atoñ kī zindagī
kisī kā jī machal uThā
kisī ke haath baḌh ga.e
diloñ meñ aag sī lagī
koī nazar se pī gayā
koī to chhū ke rah gayā
koī zabān pher ke
laboñ pe apnī rah gayā
sub.h kī ThanDī chhāñv se
nikal
ke dhuup sar chaḌhī
to pañkhuḌiyāñ gulāb kī
bikhar bikhar ke rah ga.iiñ
pankhuDiyan gulab ki
subuk subuk sajan ka lams
shafaq ka lal lal rang
nazar-nawaz-o-dil-faroz
fazaen jin se mast mast
be-nawa si naghmagi
samaaton ki zindagi
kisi ka ji machal uTha
kisi ke hath baDh gae
dilon mein aag si lagi
koi nazar se pi gaya
koi to chhu ke rah gaya
koi zaban pher ke
labon pe apni rah gaya
subh ki ThanDi chhanw se
nikal
ke dhup sar chaDhi
to pankhuDiyan gulab ki
bikhar bikhar ke rah gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.