par ab ye mushkil hai
maiñ dāstān-e-vafā ke is moḌ par
ajab kashmakash meñ huuñ ab
ki zehn-o-dil kī laḌā.iyāñ to
rah-e-vafā ke har ik musāfir kī zindagī kā haiñ juzv-e-lāzim
hai ab ye mushkil ki dil meñ aur mujh meñ Than ga.ī hai
mirā ye isrār hai
milan kī rutoñ kī pahlī sahar tarāshūñ
pe dil ba-zid hai
ki shām-e-ġham ke diye kī lau ko lahū se sīñchūñ
maiñ dil kī sachchā.ī par yaqīñ rakhne vaalā insān
kashmakash meñ huuñ ab
ki apnī ragoñ ke amrit se
vasl-rut ko jalā duuñ
yā phir ḳhatt-e-shikasta meñ
apnī āñkhoñ ke surḳh Doroñ se
rat-jagoñ kī bayāz par terā naam likkhūñ
sahar tarāshūñ ki shaam likkhūñ
main dastan-e-wafa ke is moD par
ajab kashmakash mein hun ab
ki zehn-o-dil ki laDaiyan to
rah-e-wafa ke har ek musafir ki zindagi ka hain juzw-e-lazim
hai ab ye mushkil ki dil mein aur mujh mein Than gai hai
mera ye israr hai
milan ki ruton ki pahli sahar tarashun
pe dil ba-zid hai
ki sham-e-gham ke diye ki lau ko lahu se sinchun
main dil ki sachchai par yaqin rakhne wala insan
kashmakash mein hun ab
ki apni ragon ke amrit se
wasl-rut ko jala dun
ya phir KHatt-e-shikasta mein
apni aankhon ke surKH Doron se
rat-jagon ki bayaz par tera nam likkhun
sahar tarashun ki sham likkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.