parae ajnabi aangan mein
dollar aur dirham ke liye
sīñchā gayā huuñ
ye mire sabze kī ḳhūbī thī
jabhī to mujh ko dhartī se
nikālā mil gayā thā
aur ab is ajnabī botal meñ
mere sabz rahne ke hunar ko
āzmāyā jā rahā hai
mire apne vatan kī ḳhaak se
mujh ko bachāyā jā rahā hai
chhupāyā jā rahā hai
mujhe vīrān kar ke ghar sajāyā jā rahā hai
ġhulāmī aur tanhā.ī
mire is fan kā nazrāna
rupya mere jiine kā bahāna
parā.e ajnabī āñgan meñ
dollar aur dirham ke liye
sīñchā gayā huuñ
dollar aur dirham ke liye
sincha gaya hun
ye mere sabze ki KHubi thi
jabhi to mujh ko dharti se
nikala mil gaya tha
aur ab is ajnabi botal mein
mere sabz rahne ke hunar ko
aazmaya ja raha hai
mere apne watan ki KHak se
mujh ko bachaya ja raha hai
chhupaya ja raha hai
mujhe viran kar ke ghar sajaya ja raha hai
ghulami aur tanhai
mere is fan ka nazrana
rupya mere jine ka bahana
parae ajnabi aangan mein
dollar aur dirham ke liye
sincha gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.