havā ne chupke se
ek paude ke kaan meñ
kyā na jaane phūñkā
ki khil uThā vo
hasīn rañgoñ ko ḳhud pe oḌhe
lajā rahā hai
zamīñ se nazreñ churā rahā hai
magar use kyā ḳhabar
havāoñ ke ruḳh badalte haiñ
aur badlī havā ke jhoñke
use ḳhizāñ ke sipurd kar ke
guzar raheñge
magar ye mausam bahār kā hai
so maiñ bhī chup huuñ
hasīn mausam ke dhoke khānā bhī
ḳhush-nasībī kī baat hai nā
hawa ne chupke se
ek paude ke kan mein
kya na jaane phunka
ki khil uTha wo
hasin rangon ko KHud pe oDhe
laja raha hai
zamin se nazren chura raha hai
magar use kya KHabar
hawaon ke ruKH badalte hain
aur badli hawa ke jhonke
use KHizan ke sipurd kar ke
guzar rahenge
magar ye mausam bahaar ka hai
so main bhi chup hun
hasin mausam ke dhoke khana bhi
KHush-nasibi ki baat hai na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.