parchhaiyan
zarroñ ke dahakte aivāñ meñ
do sho.ala-ba-jāñ larzāñ saa.e
masrūf-e-nazā-e-bāham haiñ
uḌ uḌ ke ġhubār-e-rāh-e-adam
aivāñ ke band darīchoñ se
Takrā ke bikharte jaate haiñ
kohre meñ panaptī samtoñ se
nāzād havāoñ ke jhoñke
nādīda āhanī pardoñ par
rah rah ke jhapaTte rahte haiñ
ik pal do pul kī baat nahīñ
zarroñ ke mahal kī baat nahīñ
har resha-e-gul har sañg-e-girāñ
har mauj-e-ravāñ ke siine meñ
ye bint-e-azal aur bint-e-abad kī
sho.ala-ba-jāñ parchhā.iyāñ yuuñ hī
sar-garm-e-paikār na jaane kab se haiñ
aur ham haiñ ki sālik-e-rāh-e-baqā
hāthoñ meñ liye fānūs-e-fanā
zarroñ se gurezāñ
sūraj kī nāyāb shuāoñ ke armāñ
sīnoñ meñ chhupā.e jaate haiñ
ḳhud ko bahlā.e jaate haiñ
zarron ke dahakte aiwan mein
do shoala-ba-jaan larzan sae
masruf-e-naza-e-baham hain
uD uD ke ghubar-e-rah-e-adam
aiwan ke band darichon se
Takra ke bikharte jate hain
kohre mein panapti samton se
nazad hawaon ke jhonke
nadida aahani pardon par
rah rah ke jhapaTte rahte hain
ek pal do pul ki baat nahin
zarron ke mahal ki baat nahin
har resha-e-gul har sang-e-giran
har mauj-e-rawan ke sine mein
ye bint-e-azal aur bint-e-abad ki
shoala-ba-jaan parchhaiyan yun hi
sar-garm-e-paikar na jaane kab se hain
aur hum hain ki salik-e-rah-e-baqa
hathon mein liye fanus-e-fana
zarron se gurezan
suraj ki nayab shuaon ke arman
sinon mein chhupae jate hain
KHud ko bahlae jate hain
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.