parchhaiyan
raat kī qabr meñ saarī parchhā.iyāñ dafn kar do
chalo din kī duniyā se kuchh aur parchhā.iyāñ jam.a kar laa.eñ
aur phir unheñ raat kī qabr meñ dafn kar deñ sadā ke liye
zindagī apnī raftār se yūñhī chaltī rahe
raushnī yūñhī parchhā.iyoñ meñ badaltī rahe
aur phir ek din ye bhī ho
ham bhī parchhā.iyoñ meñ badal jaa.eñ aur sab ham ko bhī
raat kī qabr meñ dafn kar deñ sadā ke liye
aur parchhā.iyāñ dafn karne kā ye silsila
yūñhī chaltā rahe
raat ki qabr mein sari parchhaiyan dafn kar do
chalo din ki duniya se kuchh aur parchhaiyan jama kar laen
aur phir unhen raat ki qabr mein dafn kar den sada ke liye
zindagi apni raftar se yunhi chalti rahe
raushni yunhi parchhaiyon mein badalti rahe
aur phir ek din ye bhi ho
hum bhi parchhaiyon mein badal jaen aur sab hum ko bhi
raat ki qabr mein dafn kar den sada ke liye
aur parchhaiyan dafn karne ka ye silsila
yunhi chalta rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.