parda-e-zangari
dekh in reshmī pardoñ kī hadoñ se bāhar
dekh lohe kī salāḳhoñ se pare
dekh saḌkoñ pe ye āvāra-mizājoñ kā hujūm
dekh tahzīb ke māroñ kā hujūm
apnī āñkhoñ meñ chhupā.e hue armān kī laash
qāfile aate chale jaate haiñ
zindagī ek hī mahvar kā sahārā le kar
nāchte nāchte thak jaatī hai
nāchte nāchte thak jaatī hai
tere pur-nūr shabistāñ meñ koī mast shabāb
jis kī pāzeb kī har lai meñ hazāroñ lāsheñ
chāndnī raat meñ biite hue rūmānoñ kī
apnī har saañs se bāñdhe hue paimānoñ kī
chīḳhtī chīḳhtī so jaatī haiñ
ye kashākash ye tasādum ye tazād
maan letā huuñ ye fitrat kī fusūñ-kārī hai
in usūloñ hī pe qaa.em hai tamaddun kā nizām
tū ye kahtā hai to maiñ bhī tirī ḳhātir ai dost
maan letā huuñ ye insān kī taḳhlīq nahīñ
koī māshūq hai us parda-e-zañgārī meñ
terā māshūq mire ahd kā insāñ to nahīñ
terī tamhīd mirī nazm kā unvāñ to nahīñ
dekh in reshmi pardon ki hadon se bahar
dekh lohe ki salaKHon se pare
dekh saDkon pe ye aawara-mizajon ka hujum
dekh tahzib ke maron ka hujum
apni aankhon mein chhupae hue arman ki lash
qafile aate chale jate hain
zindagi ek hi mahwar ka sahaara le kar
nachte nachte thak jati hai
nachte nachte thak jati hai
tere pur-nur shabistan mein koi mast shabab
jis ki pazeb ki har lai mein hazaron lashen
chandni raat mein bite hue rumanon ki
apni har sans se bandhe hue paimanon ki
chiKHti chiKHti so jati hain
ye kashakash ye tasadum ye tazad
man leta hun ye fitrat ki fusun-kari hai
in usulon hi pe qaem hai tamaddun ka nizam
tu ye kahta hai to main bhi teri KHatir ai dost
man leta hun ye insan ki taKHliq nahin
koi mashuq hai us parda-e-zangari mein
tera mashuq mere ahd ka insan to nahin
teri tamhid meri nazm ka unwan to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.