pardesi
is baar akele mat aanā
koī baat adhūrī le aanā
jise mil ke puurā karnā ho
koī lafz jise tum kabhī kahīñ nahīñ bol sake
koī giit jise tanhā nahīñ gaayā jā saktā
koī rañg jo maiñ ne saarī umr nahīñ dekhā
ik bag meñ bhar kar le aanā
jo ḳhvāb parā.e des meñ tum nahīñ dekh sake
vo phuul
jo tum ne kisī ko denā chāhā aur nahīñ de paa.e
vo niiñd
jise gaThḌī kī tarah
palkoñ par laade phirte ho
sab apne saath uThā laanā
is baar akele mat aanā
is bar akele mat aana
koi baat adhuri le aana
jise mil ke pura karna ho
koi lafz jise tum kabhi kahin nahin bol sake
koi git jise tanha nahin gaya ja sakta
koi rang jo main ne sari umr nahin dekha
ek bag mein bhar kar le aana
jo KHwab parae des mein tum nahin dekh sake
wo phul
jo tum ne kisi ko dena chaha aur nahin de pae
wo nind
jise gaThDi ki tarah
palkon par lade phirte ho
sab apne sath uTha lana
is bar akele mat aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.