pardesi ka KHat
hamārī duurī ke mausamoñ ko
ai jān-e-jānāñ nisāb rakhnā
maiñ tum se milne ko ā.ūñgā jab
varaq varaq tum kitāb rakhnā
sabhī shikāyāt yaad kar ke
sazāoñ kā bhī hisāb rakhnā
ḳhalish hai jo bhī tumhāre dil meñ
mire liye intisāb rakhnā
savāl jitne hoñ dil meñ chubhte
unheñ farāġhat se pūchh lenā
mirī mohabbat kā paas karnā
mujhe mukammal javāb rakhnā
uThānā parde haqīqatoñ se
faqat na mahv-e-sarāb rakhnā
bichhaḌ ke tum se milan kī lazzat
thakan hamārī sameT lenā
firāq meñ phir jo deñ sahārā
hamāre hissa ye ḳhvāb rakhnā
na duur jaanā na hijr denā
na mujh ko ġharq-e-azāb rakhnā
hamāre lafzoñ pe ġhaur karnā
bichhaḌ ke tum se na chain paayā
ḳhamoshiyoñ ko na raah denā
na dil ko ḳhāna-ḳharāb rakhnā
rafāqatoñ ke bhañvar meñ mujh ko
Dubo Dubo ke ubhār denā
har ek lamha navāz denā
na mujh se koī hijāb rakhnā
tumhārī furqat ke karb kaaTe
maiñ qatra qatra bikhar rahā huuñ
tum apnī chāhat ko merī ḳhātir
ba-sūrat-e-injezāb rakhnā
jhulas chuke haiñ tamām jazbe
unheñ mohabbat se sīñch denā
zarā sī saḳhtī zarā sī narmī
misāl-e-āb-o-turāb rakhnā
tumhāre jazbāt kī sadāqat
vajūd par abr ban ke barse
nikhar sake zindagī kā mausam
mire liye ye savāb rakhnā
hamari duri ke mausamon ko
ai jaan-e-jaanan nisab rakhna
main tum se milne ko aaunga jab
waraq waraq tum kitab rakhna
sabhi shikayat yaad kar ke
sazaon ka bhi hisab rakhna
KHalish hai jo bhi tumhaare dil mein
mere liye intisab rakhna
sawal jitne hon dil mein chubhte
unhen faraghat se puchh lena
meri mohabbat ka pas karna
mujhe mukammal jawab rakhna
uThana parde haqiqaton se
faqat na mahw-e-sarab rakhna
bichhaD ke tum se milan ki lazzat
thakan hamari sameT lena
firaq mein phir jo den sahaara
hamare hissa ye KHwab rakhna
na dur jaana na hijr dena
na mujh ko gharq-e-azab rakhna
hamare lafzon pe ghaur karna
bichhaD ke tum se na chain paya
KHamoshiyon ko na rah dena
na dil ko KHana-KHarab rakhna
rafaqaton ke bhanwar mein mujh ko
Dubo Dubo ke ubhaar dena
har ek lamha nawaz dena
na mujh se koi hijab rakhna
tumhaari furqat ke karb kaTe
main qatra qatra bikhar raha hun
tum apni chahat ko meri KHatir
ba-surat-e-injezab rakhna
jhulas chuke hain tamam jazbe
unhen mohabbat se sinch dena
zara si saKHti zara si narmi
misal-e-ab-o-turab rakhna
tumhaare jazbaat ki sadaqat
wajud par abr ban ke barse
nikhar sake zindagi ka mausam
mere liye ye sawab rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.