pardon ki sat parten lazim thin
falak kī niilī chādar kā konā
khīñch kar sātvīñ jānib
sameT diyā jaa.e
to dekhnā mumkin hai
lā-makān meñ rangoñ ke mele
rūhoñ kā milāp
kā.enātī taḳhlīq kā raaz
ālāt-e-mausīqī bekār haiñ
bādaloñ kī āñkhoñ se Tapakte qatroñ ke āvāze
aur pahāḌoñ ke vast se nikalte
madhur jharne kī dhun se
āvāz meñ taal milānā mushkil nahīñ
āñkhoñ kī thakan niilī ho rahī thī
ki sātvāñ parda uThā
falak-e-atlas pe taḳht-nashīn
sabz maḳhmalī chādar meñ lipTī huī izzat
jis ke aage mohabbat sajda rez thī
pardoñ kī saat parteñ lāzim thiiñ
falak ki nili chadar ka kona
khinch kar satwin jaanib
sameT diya jae
to dekhna mumkin hai
la-makan mein rangon ke mele
ruhon ka milap
kaenati taKHliq ka raaz
aalat-e-mausiqi bekar hain
baadalon ki aankhon se Tapakte qatron ke aawaze
aur pahaDon ke wast se nikalte
madhur jharne ki dhun se
aawaz mein tal milana mushkil nahin
aankhon ki thakan nili ho rahi thi
ki satwan parda uTha
falak-e-atlas pe taKHt-nashin
sabz maKHmali chadar mein lipTi hui izzat
jis ke aage mohabbat sajda rez thi
pardon ki sat parten lazim thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.