pardushan (aludgi)
galī mohalla aur nagar meñ
khelo kuudo apnī Dagar meñ
lekin itnā dhyān rakkho
jiine kā bhī gyaan rakkho
aaj ik achchhī baat batā.ūñ
jiine kā andāz sikhā.ūñ
bachcho miTTī dhuul dhuāñ
haiñ ye bīmārī ke sāmāñ
kachrā kuuḌā chīzeñ gandī
in ke liye hai paas meñ jhanḌī
kachrā kuuḌā saḌ jaatā hai
pardūshan bhī baḌh jaatā hai
bīmārī kā ghar pardūshan
achchhī sehat kā hai dushman
is liye merī baat suno
ghar āñgan ko saaf rakho
saaf havā meñ sab kā guzar ho
jis se raushan qalb-o-nazar ho
bāñdh nadī par aise banāo
kanchan jal amrit sā paao
aao mil kar peḌ lagā.eñ
pardūshan ko duur bhagā.eñ
jangal bastī khet khaliyān
ghar ghar pahuñchāo ye abhiyān
kaam karo ye rahte baste
taaki hans kar rahmat barse
saaf safā.ī hai īmān
ye hai sundar achchhā gyaan
gali mohalla aur nagar mein
khelo kudo apni Dagar mein
lekin itna dhyan rakkho
jine ka bhi gyan rakkho
aaj ek achchhi baat bataun
jine ka andaz sikhaun
bachcho miTTi dhul dhuan
hain ye bimari ke saman
kachra kuDa chizen gandi
in ke liye hai pas mein jhanDi
kachra kuDa saD jata hai
pardushan bhi baDh jata hai
bimari ka ghar pardushan
achchhi sehat ka hai dushman
is liye meri baat suno
ghar aangan ko saf rakho
saf hawa mein sab ka guzar ho
jis se raushan qalb-o-nazar ho
bandh nadi par aise banao
kanchan jal amrit sa pao
aao mil kar peD lagaen
pardushan ko dur bhagaen
jangal basti khet khaliyan
ghar ghar pahunchao ye abhiyan
kaam karo ye rahte baste
taki hans kar rahmat barse
saf safai hai iman
ye hai sundar achchha gyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.