Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pareshani-e-did

Ameeq Hanafi

pareshani-e-did

Ameeq Hanafi

MORE BYAmeeq Hanafi

    vo pareshān hai

    merī nazroñ ko apne badan se lipaTte chimaTte hue dekh kar

    kitnī bechain hai

    sandalīñ jism par goyā lipTe hue saañp saañp hoñ

    aur maiñ

    us ke har añg par

    apnī nazreñ jamā.e hue

    sar-ba-sar aañkh huuñ

    zer-o-bam zer-o-bam pech-o-ḳham pech-o-ḳham

    saaq zaanū jabīñ pusht sar-tā-qadam

    merī laser shuāoñ ke is jaal meñ

    zulf siina kamar puurā akvariom

    pairahan jild aur gosht ke paar saarā ahvāl bhī

    jāntā huuñ use bhī ye mālūm hai

    jāntī hai ki ham haiñ baham tak mile phir bhī vo kyuuñ pareshān hai

    wo pareshan hai

    meri nazron ko apne badan se lipaTte chimaTte hue dekh kar

    kitni bechain hai

    sandalin jism par goya lipTe hue sanp hi sanp hon

    aur main

    us ke har ang par

    apni nazren jamae hue

    sar-ba-sar aankh hun

    zer-o-bam zer-o-bam pech-o-KHam pech-o-KHam

    saq zanu jabin pusht sar-ta-qadam

    meri laser shuaon ke is jal mein

    zulf sina kamar pura akwariom

    pairahan jild aur gosht ke par ka sara ahwal bhi

    jaanta hun use bhi ye malum hai

    jaanti hai ki hum hain baham tak mile phir bhi wo kyun pareshan hai

    Source :
    • Book : auraq salnama magazines (Pg. e-268 p-256)
    • Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
    • Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
    • Edition : 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now