parinda lauT kar nahin aata
parinda
sub.h se shaam tak
bhaTaktā hai
shaam Dhaltī hai to
apnī panāh-gāh meñ lauT aatā hai
magar apne panjoñ meñ aTke ḳhvāb
jañgaloñ bayābānoñ
vādiyoñ aur maidānoñ ko sauñp aatā hai
ḳhvāb raat bhar idhar-udhar bhaTakte haiñ
magar āñkhoñ kī khiḌkiyāñ un par nahīñ khultī
ḳhvāb phuuT phuuT kar rote haiñ
parinde ko bulāte haiñ
magar parinda lauT kar nahīñ aatā
magar parinda lauT kar nahīñ aatā
parinda
subh se sham tak
bhaTakta hai
sham Dhalti hai to
apni panah-gah mein lauT aata hai
magar apne panjon mein aTke KHwab
jangalon bayabanon
wadiyon aur maidanon ko saunp aata hai
KHwab raat bhar idhar-udhar bhaTakte hain
magar aankhon ki khiDkiyan un par nahin khulti
KHwab phuT phuT kar rote hain
parinde ko bulate hain
magar parinda lauT kar nahin aata
magar parinda lauT kar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.