parinda
parinda āsmāñ kī nīlgūñ mehrāb ke us paar jaatā hai
parinda bāl-o-par hai aañkh hai lekin
sunahrī choñch se parvāz kartā hai
saḌak par dhuup hai aur dhuup meñ sāyoñ ke nāḳhun haiñ
gharoñ meñ ḳhol haiñ aur āñganoñ meñ ḳhaar ugte haiñ
kisī kā kaun hai koī nahīñ sab ajnabī haiñ hairat-o-hasrat meñ zinda haiñ
vo aurat hai
vo ḳhvāhish ke lapakte ḳhanjaroñ se pyaar kartī hai
vo us kā ham-safar hai ḳhāk-o-ḳhūñ us kā muqaddar hai
ye mauj-e-āb hai ab phuul hai ab peḌ hai kal sirf patta hai
agar ye zindagī karne kī koshish meñ pareshāñ haiñ
ye aksar qatl karte haiñ
ye aksar qatl hote haiñ
lahū ke paar gulshan hai magar gulshan lahū meñ hai
nigāhoñ meñ ujaḌte shahar kī mānind tasvīroñ kā mela hai
hujūm-e-sañg-o-āhan meñ
koī āvāz detā hai koī āvāz suntā hai
magar āvāz se āvāz kā rishta nahīñ hotā
magar āvāz se āvāz kā har har silsila be-kār hotā hai
ye manzar tairtā hai āb-e-jū meñ haa.e lekin ajnabī kyuuñ hai
maiñ manzar huuñ tasalsul huuñ
magar maiñ ajnabī kyuuñ huuñ
ye farsh-e-āb-o-gil mere liye ik silsila kyuuñ hai
parinda āsmāñ kī nīlgūñ mehrāb ke us paar chāhtā huuñ
parinda fāsla kyuuñ hai
parinda māvarā kyuuñ hai
parinda aasman ki nilgun mehrab ke us par jata hai
parinda baal-o-par hai aankh hai lekin
sunahri chonch se parwaz karta hai
saDak par dhup hai aur dhup mein sayon ke naKHun hain
gharon mein KHol hain aur aanganon mein KHar ugte hain
kisi ka kaun hai koi nahin sab ajnabi hain hairat-o-hasrat mein zinda hain
wo aurat hai
wo KHwahish ke lapakte KHanjaron se pyar karti hai
wo us ka ham-safar hai KHak-o-KHun us ka muqaddar hai
ye mauj-e-ab hai ab phul hai ab peD hai kal sirf patta hai
agar ye zindagi karne ki koshish mein pareshan hain
ye aksar qatl karte hain
ye aksar qatl hote hain
lahu ke par gulshan hai magar gulshan lahu mein hai
nigahon mein ujaDte shahar ki manind taswiron ka mela hai
hujum-e-sang-o-ahan mein
koi aawaz deta hai koi aawaz sunta hai
magar aawaz se aawaz ka rishta nahin hota
magar aawaz se aawaz ka har har silsila be-kar hota hai
ye manzar tairta hai aab-e-ju mein hae lekin ajnabi kyun hai
main manzar hun tasalsul hun
magar main ajnabi kyun hun
ye farsh-e-ab-o-gil mere liye ek silsila kyun hai
parinda aasman ki nilgun mehrab ke us par chahta hun
parinda fasla kyun hai
parinda mawara kyun hai
- Book : Lambi Barish (Pg. 88)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.