parinde
bāġhoñ meñ jab ashjār pe gaate haiñ parinde
mausam kā koī jashn manāte haiñ parinde
kohsār pe jab chaltī haiñ yaḳh-basta havā.eñ
mil kar sū-e-maidāñ utar aate haiñ parinde
uḌ jaate haiñ phir vādī-e-kohsār kī jānib
maidāñ meñ kaḌī dhuup jo paate haiñ parinde
chunte haiñ makāñ phūñs ke be-ḳhānumāñ kuchh log
yā ghoñsle tinkoñ ke banāte haiñ parinde
pahuñchāte haiñ nuqsān jo khetoñ ko janāvar
kīḌoñ se bhī fasloñ ko bachāte haiñ parinde
bachchoñ ke madāris meñ tarānoñ kā hai aalam
yā vaqt-e-sahar shor machāte haiñ parinde
saf bāñdh ke uḌte haiñ to insān ko ai 'zeb'
tanzīm ke ādāb sikhāte haiñ parinde
baghon mein jab ashjar pe gate hain parinde
mausam ka koi jashn manate hain parinde
kohsar pe jab chalti hain yaKH-basta hawaen
mil kar su-e-maidan utar aate hain parinde
uD jate hain phir wadi-e-kohsar ki jaanib
maidan mein kaDi dhup jo pate hain parinde
chunte hain makan phuns ke be-KHanuman kuchh log
ya ghonsle tinkon ke banate hain parinde
pahunchate hain nuqsan jo kheton ko janawar
kiDon se bhi faslon ko bachate hain parinde
bachchon ke madaris mein taranon ka hai aalam
ya waqt-e-sahar shor machate hain parinde
saf bandh ke uDte hain to insan ko ai 'zeb'
tanzim ke aadab sikhate hain parinde
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.