parinde ki aankh khul jati hai
kisī parinde kī raat peḌ par faḌfaḌātī hai
raat peḌ aur parinda
añdhere ke ye tīnoñ raahī
ek siidh meñ aa khaḌe hote haiñ
raat añdhere meñ phañs jaatī hai
raat tū ne merī chhāñv kyā kī
jañgal chhoTā hai
is liye tumheñ gahrī lag rahī huuñ
gahrā to maiñ parinde ke so jaane se huā thā
maiñ roz parinde ko dilāsa dene ke ba.ad
apnī kamān kī taraf lauT jaatī huuñ
terī kamān kyā sub.h hai
maiñ jab marī to merā naam raat rakh diyā gayā
ab merā naam fāsla hai
terā dūsrā janm kab hogā
jab ye parinda bedār hogā
parinde kā chahchahānā hī merā janm-din hai
fāsla aur peḌ haath milāte haiñ
aur parinde kī aañkh khul jaatī hai
kisi parinde ki raat peD par faDfaDati hai
raat peD aur parinda
andhere ke ye tinon rahi
ek sidh mein aa khaDe hote hain
raat andhere mein phans jati hai
raat tu ne meri chhanw kya ki
jangal chhoTa hai
is liye tumhein gahri lag rahi hun
gahra to main parinde ke so jaane se hua tha
main roz parinde ko dilasa dene ke baad
apni kaman ki taraf lauT jati hun
teri kaman kya subh hai
main jab mari to mera nam raat rakh diya gaya
ab mera nam fasla hai
tera dusra janm kab hoga
jab ye parinda bedar hoga
parinde ka chahchahana hi mera janm-din hai
fasla aur peD hath milate hain
aur parinde ki aankh khul jati hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 160)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.