parindon ki boli
Interesting Fact
(Dar Ishq-e-Sulaimanam, man hamdam-e-murghanam) (Rumi) In the love of Solomon ‘I am the companion of the birds (Rumi)
bahut din hue
ek tālāb ke paas maiñ ne parindoñ ko dekhā
falak par bhaTakte hue chand bādal the
aur sub.h kī dhuup meñ halkī halkī sī ThanDak
vahāñ gahre tālāb ke paas ūñche daraḳhtoñ kī is oT meñ
dhuup kī ThanDī ThanDī sī kirnoñ se lipTe hue sabz patte
daraḳhtoñ se tālāb meñ gir rahe the
vahīñ maiñ ne dekhā ki duniyā ke saare parinde
na jaane kahāñ se zamānoñ ke phaile hue fāsloñ se
ubharte haiñ tālāb ke paas aa kar utarte haiñ aur bolte haiñ
vahīñ maiñ ne un sab parindoñ ko ūñche daraḳhtoñ pe niilī fazāoñ meñ tālāb ke pāniyoñ par kināroñ pe har samt dekhā
vo uḌte hue hans gaatī huī bulbuleñ mor sadiyoñ ke qāsid kabūtar
vo aise parinde bhī jo apne nāmoñ ko bas aap hī jānte haiñ
vo nādir sadā.eñ ki jaise vo sadiyoñ ke asrār ko kholtī huuñ
vo chahkār jaise vo an-dekhī duniyāoñ se aa rahī ho
parindoñ kī bolī ke asrār ko sīkhte din kaTā raat guzrī
bahāreñ ḳhizā.eñ palaT kar ka.ī baar aa.iiñ
bahut din hue maiñ ne jab un parindoñ ko dekhā
aur ab un kī ġhaibī sadāoñ ke asrār ko chār-sū dekhtā huuñ
mujhe ilm hai har sadā duur se aane vaalī sadā hai
har ik shai meñ koī ishārat nihāñ hai
bahut din hue
ek talab ke pas main ne parindon ko dekha
falak par bhaTakte hue chand baadal the
aur subh ki dhup mein halki halki si ThanDak
wahan gahre talab ke pas unche daraKHton ki is oT mein
dhup ki ThanDi ThanDi si kirnon se lipTe hue sabz patte
daraKHton se talab mein gir rahe the
wahin main ne dekha ki duniya ke sare parinde
na jaane kahan se zamanon ke phaile hue faslon se
ubharte hain talab ke pas aa kar utarte hain aur bolte hain
wahin main ne un sab parindon ko unche daraKHton pe nili fazaon mein talab ke paniyon par kinaron pe har samt dekha
wo uDte hue hans gati hui bulbulen mor sadiyon ke qasid kabutar
wo aise parinde bhi jo apne namon ko bas aap hi jaante hain
wo nadir sadaen ki jaise wo sadiyon ke asrar ko kholti hun
wo chahkar jaise wo an-dekhi duniyaon se aa rahi ho
parindon ki boli ke asrar ko sikhte din kaTa raat guzri
bahaaren KHizaen palaT kar kai bar aain
bahut din hue main ne jab un parindon ko dekha
aur ab un ki ghaibi sadaon ke asrar ko chaar-su dekhta hun
mujhe ilm hai har sada dur se aane wali sada hai
har ek shai mein koi ishaarat nihan hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 164)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.