parindon ko dhoka na do
vo martūb jhoñkā
jo bārish kā elān-nāma hai
gar aaj phir aa.e to ye batā.ūñ
ki vo bastiyāñ jin meñ harf-o-sadā ke parinde to agar the
ujḌe makāñ haiñ
jahāñ sirf vahshī havā.eñ hī phunkārtī haiñ
sabz malbūs pahne hue peḌ uriyāñ haiñ
aur un ke nīche faqat chand nuqte
jinheñ saaya kahnā bhī saa.e kī tauhīn hai
zard pattoñ ke dil
jise aaseb ke ḳhauf se bhaag jaane pe majbūr haiñ
har taraf ḳhushk patthar haiñ
jin kī ragoñ se koī qatra-e-āb Tapke
to goyā havā jaal meñ aa ga.ī ho
us se pūchhūñ
vo motī kahāñ haiñ
jinheñ pā ke murda zamīñ
reshmī sabz sī shaal oḌh le
āñganoñ meñ mahakte gulāboñ ke raushan diye jagmagā.eñ
saat rañgī kamāñ haath meñ le ke
niile falak ke samundar meñ mahv-e-safar devtā
apnā rath rok le
aur chaTTānoñ se jharnoñ kī āvāz
kānoñ meñ ras ghol de
vo parinde jo choñcheñ paroñ meñ dabā.e hue dam-ba-ḳhud haiñ
tumheñ dekh kar khil uTheñ
jānte haiñ
ki martūb jhoñkā akelā nahīñ
apne hamrāh bhīgī rutoñ ke sandese bhī laa.e
use ye kahūñ
tum harāaval nahīñ bārishoñ ke
to martūb jaama utāro
parindoñ ko dhokā na do
wo martub jhonka
jo barish ka elan-nama hai
gar aaj phir aae to ye bataun
ki wo bastiyan jin mein harf-o-sada ke parinde to agar the
ujDe makan hain
jahan sirf wahshi hawaen hi phunkarti hain
sabz malbus pahne hue peD uriyan hain
aur un ke niche faqat chand nuqte
jinhen saya kahna bhi sae ki tauhin hai
zard patton ke dil
jise aaseb ke KHauf se bhag jaane pe majbur hain
har taraf KHushk patthar hain
jin ki ragon se koi qatra-e-ab Tapke
to goya hawa jal mein aa gai ho
us se puchhun
wo moti kahan hain
jinhen pa ke murda zamin
reshmi sabz si shaal oDh le
aanganon mein mahakte gulabon ke raushan diye jagmagaen
sat rangi kaman hath mein le ke
nile falak ke samundar mein mahw-e-safar dewta
apna rath rok le
aur chaTTanon se jharnon ki aawaz
kanon mein ras ghol de
wo parinde jo chonchen paron mein dabae hue dam-ba-KHud hain
tumhein dekh kar khil uThen
jaante hain
ki martub jhonka akela nahin
apne hamrah bhigi ruton ke sandese bhi lae
use ye kahun
tum haraawal nahin barishon ke
to martub jama utaro
parindon ko dhoka na do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.