park mein
chup khaḌe daraḳht se
mere shāne chhūte hue
ḳhushk patte girte haiñ
be-nūr dhuup aur be-rang mausam
ruk ruk kar chaltī havā
har shai udaas hai
zamīn āsmān manzar sab
baa.eñ jānib
koltār kī
vo saḌak hai
jo sabz-o-siyāh daraḳhtoñ
kī qatār ke darmiyān
duur tak
bal khātī
chalī ga.ī hai
daa.eñ jānib
navāb kī purānī havelī
jis meñ
ab market hai
sāmne
fence ke us paar
schōl kī imārat
jis ke gate par
māltī kī bel ke zer-e-sāya
ek giit hai
giit
jo milne aur bichhaḌne
rone aur gaane
jiine aur ġham uThāne
ke baare meñ hai
giit
jo faqat bichhaḌne ke liye milne
faqat rone ke liye gaane
aur faqat ġham uThāne ke liye jiine
ke baare meñ hai
giit
jo
zindagī masarratoñ kā
kaisā be-rahm chhalāvā hai
tāham gila
ki ye itnī muḳhtasar hai
udaas dopahar
suune park kī bad-rañg bench par
kab se baiThā huuñ
fazā meñ ek giit kī
bāzgasht suntā huā
shaad
nāshād
chup khaDe daraKHt se
mere shane chhute hue
KHushk patte girte hain
be-nur dhup aur be-rang mausam
ruk ruk kar chalti hawa
har shai udas hai
zamin aasman manzar sab
baen jaanib
koltar ki
wo saDak hai
jo sabz-o-siyah daraKHton
ki qatar ke darmiyan
dur tak
bal khati
chali gai hai
daen jaanib
nawab ki purani haweli
jis mein
ab market hai
samne
fence ke us par
school ki imarat
jis ke gate par
malti ki bel ke zer-e-saya
ek git hai
git
jo milne aur bichhaDne
rone aur gane
jine aur gham uThane
ke bare mein hai
git
jo faqat bichhaDne ke liye milne
faqat rone ke liye gane
aur faqat gham uThane ke liye jine
ke bare mein hai
git
jo
zindagi masarraton ka
kaisa be-rahm chhalawa hai
taham gila
ki ye itni muKHtasar hai
udas dopahar
sune park ki bad-rang bench par
kab se baiTha hun
faza mein ek git ki
bazgasht sunta hua
shad
nashad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.