Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parwin club se aati hai

Khalid Irfan

parwin club se aati hai

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    ab mammy daddy kahte haiñ cultured hamārī beTī hai

    pahlī bhī club meñ jaatī thī ye third hamārī beTī hai

    saḌkoñ pe ye uḌtī phirtī hai ik bird hamārī beTī hai

    maz.hab purānī rasmoñ se injured hamārī beTī hai

    bāhar ye chāhe jaisī ho ghar meñ to adab se aatī hai

    jab aadhī raat guzar jaa.e parvīn club se aatī hai

    din bhar ye ghar meñ sotī hai saḌkoñ pe shaam se bhāgtī hai

    āzād tabī.at aisī hai shādī ke naam se bhāgtī hai

    roza o namāz qaa.il hai sajda o qayām se bhāgtī hai

    islām-alī beTī hai lekin islām se bhāgtī hai

    parfum dubai se aatā hai tasbīh arab se aatī hai

    jab aadhī raat guzar jaa.e parvīn club se aatī hai

    ye pal meñ toffē hotī hai pal meñ sābun ho jaatī hai

    kuchh aql se jab us rabt nahīñ hai vo nāḳhun ho jaatī hai

    phir mashriq ke sāzoñ par maġhrib dhan ho jaatī hai

    jab boy-friends pilā dete haiñ fauran Tun ho jaatī hai

    jab us ko nashsha chaḌhtā hai ghar meñ ye ġhazab aatī hai

    jab aadhī raat guzar jaa.e parvīn club se aatī hai

    america meñ bastī hai phir jāpān meñ rahtī hai

    ye ḳhvāboñ shahzādī hai har vaqt uḌaan meñ rahtī hai

    parda o hijāb se kyā matlab ye apne dhyān meñ rahtī hai

    ye swimming-pōl se bāhar bhī nekar banyān meñ rahtī hai

    ik hashr bapā hotā hai jab paanī ke tub se aatī hai

    jab aadhī raat guzar jaa.e parvīn club se aatī hai

    parvīn ke ġhusl laḌke bhī chhup chhup ke nazāra karte haiñ

    vo swimming pool ke sat.h-e-āb pe kañkar maarā karte haiñ

    phir mammy daddy tāvīzoñ se us ko dhārā karte haiñ

    ''jab kashtī Dūbne lagtī hai to bojh utārā karte haiñ''

    sab apnī mohabbat vāpas lo āvāz ye rab se aatī hai

    jab aadhī raat guzar jaa.e parvīn club se aatī hai

    ab mammy daddy kahte hain cultured hamari beTi hai

    pahli bhi club mein jati thi ye third hamari beTi hai

    saDkon pe ye uDti phirti hai ek bird hamari beTi hai

    mazhab ki purani rasmon se injured hamari beTi hai

    bahar ye chahe jaisi ho ghar mein to adab se aati hai

    jab aadhi raat guzar jae parwin club se aati hai

    din bhar ye ghar mein soti hai saDkon pe sham se bhagti hai

    aazad tabiat aisi hai shadi ke nam se bhagti hai

    roza o namaz ki qail hai sajda o qayam se bhagti hai

    islam-ali ki beTi hai lekin islam se bhagti hai

    parfum dubai se aata hai tasbih arab se aati hai

    jab aadhi raat guzar jae parwin club se aati hai

    ye pal mein toffee hoti hai pal mein sabun ho jati hai

    kuchh aql se jab us ka rabt nahin hai wo naKHun ho jati hai

    phir mashriq ke sazon par maghrib ki dhan ho jati hai

    jab boy-friends pila dete hain fauran Tun ho jati hai

    jab us ko nashsha chaDhta hai ghar mein ye ghazab si aati hai

    jab aadhi raat guzar jae parwin club se aati hai

    ya america mein basti hai ya phir japan mein rahti hai

    ye KHwabon ki shahzadi hai har waqt uDan mein rahti hai

    parda o hijab se kya matlab ye apne dhyan mein rahti hai

    ye swimming-pool se bahar bhi nekar banyan mein rahti hai

    ek hashr bapa hota hai jab pani ke tub se aati hai

    jab aadhi raat guzar jae parwin club se aati hai

    parwin ke ghusl ka laDke bhi chhup chhup ke nazara karte hain

    wo swimming pool ke sath-e-ab pe kankar mara karte hain

    phir mammy daddy tawizon se us ko dhaara karte hain

    jab kashti Dubne lagti hai to bojh utara karte hain

    sab apni mohabbat wapas lo aawaz ye rab se aati hai

    jab aadhi raat guzar jae parwin club se aati hai

    Source :
    • Book : No Problem (Pg. 29)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now