pas che-bayad-kard
ḳhvāb-e-ḳhas-ḳhāna-o-barfāb ke pīchhe pīchhe
garmi-e-shahr-e-muqaddar ke satā.e hue log
kaisī yaḳh-basta zamīnoñ kī taraf aa nikle
mauj-e-ḳhūñ barf huī jaatī hai sāñseñ bhī haiñ barf
vahshateñ jin kā muqaddar thiiñ vo āñkheñ bhī haiñ barf
yād-e-yārān-e-dil-āvez kā manzar bhī hai barf
ek ik naam har āvāz har ik chehra barf
munjamid ḳhvāb kī Tiksāl kā har sikka barf
aur ab sochte haiñ shām-o-sahar sochte haiñ
ḳhvāb-e-ḳhas-ḳhāna-o-barfāb se vo aag bhalī
jin ke sho.aloñ meñ bhī qirtās o qalam zinda haiñ
jis meñ har ahd ke har nasl ke ġham zinda haiñ
ḳhaak ho kar bhī ye lagtā thā ki ham zinda haiñ
KHwab-e-KHas-KHana-o-barfab ke pichhe pichhe
garmi-e-shahr-e-muqaddar ke satae hue log
kaisi yaKH-basta zaminon ki taraf aa nikle
mauj-e-KHun barf hui jati hai sansen bhi hain barf
wahshaten jin ka muqaddar thin wo aankhen bhi hain barf
yaad-e-yaran-e-dil-awez ka manzar bhi hai barf
ek ek nam har aawaz har ek chehra barf
munjamid KHwab ki Tiksal ka har sikka barf
aur ab sochte hain sham-o-sahar sochte hain
KHwab-e-KHas-KHana-o-barfab se wo aag bhali
jin ke shoalon mein bhi qirtas o qalam zinda hain
jis mein har ahd ke har nasl ke gham zinda hain
KHak ho kar bhi ye lagta tha ki hum zinda hain
- Book : Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 532)
- Author : Iftikhar Arif
- Publication : Pakistan Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.