pas-e-KHayal
koī ḳhvāb thā yā ḳhayāl thā
vo dil-o-nazar kā malāl thā
the usī ke dam se ye fāsle
vahī qurb-e-jāñ se nihāl thā
vahī zau-fishāñ thā suḳhan suḳhan
vahī fikr-o-fan kā kamāl thā
thiiñ usī ke naam bulandiyāñ
vahī aap apnī misāl thā
vo shuā-e-mehr-e-yaqīñ banā
vahī iztirāb-e-zamīñ banā
mere sar pe sāya-fagan huā
vahī e.atibār kā diiñ banā
mire vāste mire naam par
vahī raushnī kī jabīñ banā
jise likh sakūñ maiñ havāoñ par
vo ġhazal kā soz-e-mubīñ banā
thā vo abr-e-bārāñ hayāt kā
vo mah-e-daraḳhshāñ hayāt kā
vo milā to aisā lagā mujhe
ki vahī hai unvāñ hayāt kā
mirī ārzūoñ kā silsila
thā vahī to sāmāñ hayāt kā
huī ruuh zinda vajūd kī
huā jism tābāñ hayāt kā
magar ab jo bikhrī sadāqateñ
banī ḳhvāb saarī haqīqateñ
koī naqsh-e-yās bujhā huā
kahīñ sarfarāz rivāyateñ
mirā e.atibār na chhū sakā
tire iltifāt kī rāhateñ
jo mire yaqīñ kā libās thiiñ
huiiñ be-hisār vo lazzateñ
vo gayā to aisā gayā ki phir
na palaT ke aaya mirī taraf
na hī us ne sochā kabhī mujhe
na hī sar jhukāyā mirī taraf
vo latīf jhoñkā bahār kā
jo na dekh paayā mirī taraf
mire dil ke armāñ bikhar ga.e
vo kabhī to aatā mirī taraf
ye gumāñ hī merā yaqīñ hai
ki kahīñ bhī ruuh kā ghar nahīñ
mire roz-o-shab ke dayār meñ
kahīñ raushnī kā guzar nahīñ
hai udaas chāñd bujhā bujhā
koī harf harf guhar nahīñ
use apnā maiñ ne samajh liyā
vo jahāñ meñ apnā magar nahīñ
koi KHwab tha ya KHayal tha
wo dil-o-nazar ka malal tha
the usi ke dam se ye fasle
wahi qurb-e-jaan se nihaal tha
wahi zau-fishan tha suKHan suKHan
wahi fikr-o-fan ka kamal tha
thin usi ke nam bulandiyan
wahi aap apni misal tha
wo shua-e-mehr-e-yaqin bana
wahi iztirab-e-zamin bana
mere sar pe saya-fagan hua
wahi eatibar ka din bana
mere waste mere nam par
wahi raushni ki jabin bana
jise likh sakun main hawaon par
wo ghazal ka soz-e-mubin bana
tha wo abr-e-baran hayat ka
wo mah-e-daraKHshan hayat ka
wo mila to aisa laga mujhe
ki wahi hai unwan hayat ka
meri aarzuon ka silsila
tha wahi to saman hayat ka
hui ruh zinda wajud ki
hua jism taban hayat ka
magar ab jo bikhri sadaqaten
bani KHwab sari haqiqaten
koi naqsh-e-yas bujha hua
kahin sarfaraaz riwayaten
mera eatibar na chhu saka
tere iltifat ki rahaten
jo mere yaqin ka libas thin
huin be-hisar wo lazzaten
wo gaya to aisa gaya ki phir
na palaT ke aaya meri taraf
na hi us ne socha kabhi mujhe
na hi sar jhukaya meri taraf
wo latif jhonka bahaar ka
jo na dekh paya meri taraf
mere dil ke arman bikhar gae
wo kabhi to aata meri taraf
ye guman hi mera yaqin hai
ki kahin bhi ruh ka ghar nahin
mere roz-o-shab ke dayar mein
kahin raushni ka guzar nahin
hai udas chand bujha bujha
koi harf harf guhar nahin
use apna main ne samajh liya
wo jahan mein apna magar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.