pas-manzar
kis kī yaad chamak uTThī hai dhuñdle ḳhāke hue ujāgar
yūñhī chand purānī qabreñ khod rahā huuñ tanhā baiThā
kahīñ kisī kā maas na haDDī kahīñ kisī kā ruup na chhāyā
kuchh katboñ par dhuñdle dhuñdle naam khude haiñ maiñ jīvan-bhar
in katboñ in qabroñ hī ko apne man kā bhed banā kar
mustaqbil aur haal ko choḌe, dukh sukh sab meñ liye phirā huuñ
maazī kī ghanghor ghaTā meñ chupkā baiThā soch rahā huuñ
kis kī yaad chamak uTThī hai, dhuñdle ḳhāke hue ujāgar?
baiThā qabreñ khod rahā huuñ, huuk sī ban kar ek ik mūrat
dard sā ban kar ek ik sāyā, jaag rahe haiñ duur kahīñ se
āvāzeñ sī kuchh aatī haiñ, ''guzre the ik baar yahīñ se''
hairat ban kar dekh rahī hai, har jānī-pahchānī sūrat
goyā jhuuT haiñ ye āvāzeñ, koī mel na thā in sab se
jin kā pyaar kisī ke dil meñ apne ghaao chhoḌ gayā hai
jin kā pyaar kisī ke dil se saare rishte toḌ gayā hai
aur vo pāgal in rishtoñ ko baiThā joḌ rahā hai kab se!
kis ki yaad chamak uTThi hai dhundle KHake hue ujagar
yunhi chand purani qabren khod raha hun tanha baiTha
kahin kisi ka mas na haDDi kahin kisi ka rup na chhaya
kuchh katbon par dhundle dhundle nam khude hain main jiwan-bhar
in katbon in qabron hi ko apne man ka bhed bana kar
mustaqbil aur haal ko choDe, dukh sukh sab mein liye phira hun
mazi ki ghanghor ghaTa mein chupka baiTha soch raha hun
kis ki yaad chamak uTThi hai, dhundle KHake hue ujagar?
baiTha qabren khod raha hun, huk si ban kar ek ek murat
dard sa ban kar ek ek saya, jag rahe hain dur kahin se
aawazen si kuchh aati hain, guzre the ek bar yahin se
hairat ban kar dekh rahi hai, har jaani-pahchani surat
goya jhuT hain ye aawazen, koi mel na tha in sab se
jin ka pyar kisi ke dil mein apne ghao chhoD gaya hai
jin ka pyar kisi ke dil se sare rishte toD gaya hai
aur wo pagal in rishton ko baiTha joD raha hai kab se!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.