pas-manzar ki aawaz
kisī bhūle naam kā zā.iqa
kisī zard din kī giraft meñ
kisī kho.e ḳhvāb kā vasvasa
kisī gahrī shab kī sarisht meñ
kahīñ dhuup chhāñv ke darmiyāñ
kisī ajnabī se dayār ke
maiñ javār meñ phirūñ kis tarah
ye havā chalegī to kab talak
ye zamīñ rahegī to kab talak
khule āñganoñ pe
muhīb raat jhukī rahegī to kab talak
ye jo āhaToñ kā hirās hai
use apne maile libās se
maiñ jhaTak ke pheñk duuñ kis tarah
vo jo māvarā-e-havās hai
use roz-o-shab ke hisāb se
karūñ de dimāġh meñ kis tarah
koī āñsuoñ kī zabāñ nahīñ
koī mā-sāvā-e-gumāñ nahīñ
ye jo dhundlī āñkhoñ meñ Dūbtā koī naam hai
ye kahīñ nahīñ
ye kahāñ nahīñ
ye qayām-e-ḳhvāb davām-e-ḳhvāb
rahūñ is se daur meñ kis tarah
unhī sāhiloñ pe
taḌaptī ret meñ so rahūñ
mujhe izn-e-zillat-e-hast ho
kisi bhule nam ka zaiqa
kisi zard din ki giraft mein
kisi khoe KHwab ka waswasa
kisi gahri shab ki sarisht mein
kahin dhup chhanw ke darmiyan
kisi ajnabi se dayar ke
main jawar mein phirun kis tarah
ye hawa chalegi to kab talak
ye zamin rahegi to kab talak
khule aanganon pe
muhib raat jhuki rahegi to kab talak
ye jo aahaTon ka hiras hai
use apne maile libas se
main jhaTak ke phenk dun kis tarah
wo jo mawara-e-hawas hai
use roz-o-shab ke hisab se
karun de dimagh mein kis tarah
koi aansuon ki zaban nahin
koi ma-sawa-e-guman nahin
ye jo dhundli aankhon mein Dubta koi nam hai
ye kahin nahin
ye kahan nahin
ye qayam-e-KHwab dawam-e-KHwab
rahun is se daur mein kis tarah
unhi sahilon pe
taDapti ret mein so rahun
mujhe izn-e-zillat-e-hast ho
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 57)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.