pasand
din bharte haiñ
dukh baḌhte haiñ
ḳhushiyāñ kitnī kam haiñ
āsmān kitnā ūñchā
aur zamīñ kitnī chhoTī
chāñd zamīn ke gird chakkar lagātā hai
phir bhī zamīn
sūraj hī ke gird ghūmtī hai
shāyad use bhī pasand hai
tapish meñ pighalnā
din bharte hain
dukh baDhte hain
KHushiyan kitni kam hain
aasman kitna uncha
aur zamin kitni chhoTi
chand zamin ke gird chakkar lagata hai
phir bhi zamin
suraj hi ke gird ghumti hai
shayad use bhi pasand hai
tapish mein pighalna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.