pashemani
mere va.ada-shikan
tū pareshāñ na ho
merī barbādiyoñ par pashemāñ na ho
ye tabāhī mirī apnī taqdīr hai
ḳhvāb mere the merī hī ta.abīr hai
is meñ terī kahāñ koī taqsīr hai
merī taqdīr par merī taqsīr par
itnā hairāñ na ho
ḳhud se barham na ho
ḳhud se nālāñ na ho
ġham-badāmāñ na ho
maiñ hī nādān thā
maiñ hī nādān huuñ
so maiñ vīrān huuñ
ḳhud pashemān huuñ
mere wada-shikan
tu pareshan na ho
meri barbaadiyon par pasheman na ho
ye tabahi meri apni taqdir hai
KHwab mere the meri hi tabir hai
is mein teri kahan koi taqsir hai
meri taqdir par meri taqsir par
itna hairan na ho
KHud se barham na ho
KHud se nalan na ho
gham-badaman na ho
main hi nadan tha
main hi nadan hun
so main viran hun
KHud pasheman hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.