pashemani
vo kahtī hai mirā phir se yaqīñ kar lo
zamāna dekh aa.ī huuñ
tire jaisā nahīñ miltā
maiñ kahtā huuñ
zamīñ banjar jo ho jaa.e
karo tum laakh sairābī
vahāñ par kuchh nahīñ khiltā
pyaar ik baar hotā hai
faqat ik baar hotā hai
agar tum chhoḌ jaao to
dobāra lauT aao to
na pahlī baat rahtī hai
na phir vo zaat rahtī hai
suno jānāñ
maiñ tum ko dekhtā to huuñ
dikhā.ī kuchh nahīñ detā
maiñ tum ko sochtā bhī huuñ
sujhā.ī kuchh nahīñ detā
bahut kuchh boltī ho ab
sunā.ī kuchh nahīñ detā
kisī ko chhoḌ jaane se
kisī kā dil dukhāne se
kabhī mahsūs tum kar lo
azāb-e-jāñ hai pal pal vo
sukūñ ik pal nahīñ miltā
judā.ī zaḳhm aisā hai
jo rūh-e-dil pe lag jaa.e
maiñ kaise tum ko samjhā.ūñ
nahīñ siltā nahīñ siltā nahīñ siltā
vo kahtī hai mirā phir se yaqīñ kar lo
zamāna dekh aa.ī huuñ tire jaisā nahīñ miltā
wo kahti hai mera phir se yaqin kar lo
zamana dekh aai hun
tere jaisa nahin milta
main kahta hun
zamin banjar jo ho jae
karo tum lakh sairabi
wahan par kuchh nahin khilta
pyar ek bar hota hai
faqat ek bar hota hai
agar tum chhoD jao to
dobara lauT aao to
na pahli baat rahti hai
na phir wo zat rahti hai
suno jaanan
main tum ko dekhta to hun
dikhai kuchh nahin deta
main tum ko sochta bhi hun
sujhai kuchh nahin deta
bahut kuchh bolti ho ab
sunai kuchh nahin deta
kisi ko chhoD jaane se
kisi ka dil dukhane se
kabhi mahsus tum kar lo
azab-e-jaan hai pal pal wo
sukun ek pal nahin milta
judai zaKHm aisa hai
jo ruh-e-dil pe lag jae
main kaise tum ko samjhaun
nahin silta nahin silta nahin silta
wo kahti hai mera phir se yaqin kar lo
zamana dekh aai hun tere jaisa nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.