paspai
mujh ko bhī ġhussa aatā hai
jab koī cycle vaalā
agle pahiye se
kīchaḌ kī ik chhāp merī patlūn pe de detā hai
jab koī motor vaalā
mere muñh par
muḌ ke ke gaDDhoñ ke gande paanī ke chhīñTe de detā hai
jab koī khule hue chhāte kī kamā.ī se sar meñ Thokā detā hai
jab fōtpath pe
mere muqābil chalne vaalā
ūñche mahloñ ke takte takte mujh ko dhakkā detā hai
mujh ko bhī ġhussa aatā hai
lekin maiñ to
sūkhe baazū
ubhrī paslī
pichke gaal aur ḳhālī jebeñ
dekh ke apnī
chup rahtā huuñ
aur mere uupar vaale nokīle daañt bichhar jaate haiñ
hoñToñ se bāhar aate haiñ
nichle hoñT se pahuñch jaate haiñ
merā saarā ġhussa nichle hoñT ke ḳhuuñ meñ tharrātā hai
mujh ko bhi ghussa aata hai
jab koi cycle wala
agle pahiye se
kichaD ki ek chhap meri patlun pe de deta hai
jab koi motor wala
mere munh par
muD ke ke gaDDhon ke gande pani ke chhinTe de deta hai
jab koi khule hue chhate ki kamai se sar mein Thoka deta hai
jab footpath pe
mere muqabil chalne wala
unche mahlon ke takte takte mujh ko dhakka deta hai
mujh ko bhi ghussa aata hai
lekin main to
sukhe bazu
ubhri pasli
pichke gal aur KHali jeben
dekh ke apni
chup rahta hun
aur mere upar wale nokile dant bichhar jate hain
honTon se bahar aate hain
nichle honT se pahunch jate hain
mera sara ghussa nichle honT ke KHun mein tharraata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.