passiwe smoker
dhueñ ke qafas meñ qaid passive smoker
khul kar saañs lene ko tarastā taḌaptā
gale se havā maano utartī nahīñ
havā meñ kīleñ lagīñ hai jaise
jo khāñsne par bhī gale se girtī nahīñ
dhueñ ke qafas meñ qaid passive smoker
havā is qadar hai rūkhī
ki andar se galā chhilne lagā hai
andar ek zaḳhm hone lagā hai
bahut bīmār hone lagā hai passive smoker
cancer kā shikār hone lagā hai passive smoker
an-ginat factoryoñ kī cigarette sī chimniyoñ ne
is dhartī ko banā diyā hai ek passive smoker
dhuen ke qafas mein qaid passiwe smoker
khul kar sans lene ko tarasta taDapta
gale se hawa mano utarti nahin
hawa mein kilen lagin hai jaise
jo khansne par bhi gale se girti nahin
dhuen ke qafas mein qaid passiwe smoker
hawa is qadar hai rukhi
ki andar se gala chhilne laga hai
andar ek zaKHm hone laga hai
bahut bimar hone laga hai passiwe smoker
cancer ka shikar hone laga hai passiwe smoker
an-ginat factoryon ki cigarette si chimniyon ne
is dharti ko bana diya hai ek passiwe smoker
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.