password
zamāna ek vo bhī thā
ki mere rāste meñ aa bhī jaatī gar koī mushkil
to terā naam hī mere liye mushkil-kushā thā
jaise koī qufl-e-abjad
jis se khul jaate the
saare band darvāze
vo darvāze
ki jin se ho ke jaate the
mirī duniyā ke sab raste
masarrat kī sabhī rāheñ
mohabbat kī guzargāheñ
zamāna ek ye bhī hai
hamāre biich kitnā fāsla hai
aur hamāre rāste kitne alag haiñ
phir bhī merī virtual duniyā
ke saare band darvāze
tire hī naam kī chābī se khulte haiñ
tire hī naam par rakkhe hue haiñ maiñ ne saare password apne
zamana ek wo bhi tha
ki mere raste mein aa bhi jati gar koi mushkil
to tera nam hi mere liye mushkil-kusha tha
jaise koi qufl-e-abjad
jis se khul jate the
sare band darwaze
wo darwaze
ki jin se ho ke jate the
meri duniya ke sab raste
masarrat ki sabhi rahen
mohabbat ki guzargahen
zamana ek ye bhi hai
hamare bich kitna fasla hai
aur hamare raste kitne alag hain
phir bhi meri wirtual duniya
ke sare band darwaze
tere hi nam ki chabi se khulte hain
tere hi nam par rakkhe hue hain main ne sare password apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.