pata nahin wo kaun tha
pata nahīñ vo kaun thā
jo mere haath
mūgre kī Daal pañkh mor kā thamā ke chal diyā
pata nahīñ vo kaun thā
havā ke jhoñke kī tarah jo aayā aur guzar gayā
nazar ko rañg dil ko nik.hatoñ ke dukh se bhar gayā
maiñ kaun huuñ
guzarne vaalā kaun thā
ye phuul pañkh kyā haiñ kyuuñ mile
ye sochte hī sochte tamām rañg ek rañg meñ utarte ga.e
......siyāh rañg
tamām nik.hateñ idhar udhar bikhar ga.iiñ
.........ḳhalāoñ meñ
yaqīn hai...... nahīñ nahīñ gumān hai
vo koī merā dushman-e-qadīm thā
dikhā ke jo sarāb merī pyaas aur baḌhā gayā
maiñ be-hisāb ārzūoñ kā shikār
intihā-e-shauq meñ fareb us kā khā gayā
gumān... nahīñ nahīñ yaqīn hai
vo koī merā dost thā
jo do ghaḌī ke vāste hī kyuuñ na ho
nazar ko rañg dil ko nik.hatoñ se bhar gayā
pata nahīñ kidhar gayā
maiñ is ko DhūñDhtā huā
tamām kā.enāt meñ
udhar udhar bikhar gayā
pata nahin wo kaun tha
jo mere hath
mugre ki Dal pankh mor ka thama ke chal diya
pata nahin wo kaun tha
hawa ke jhonke ki tarah jo aaya aur guzar gaya
nazar ko rang dil ko nikhaton ke dukh se bhar gaya
main kaun hun
guzarne wala kaun tha
ye phul pankh kya hain kyun mile
ye sochte hi sochte tamam rang ek rang mein utarte gae
siyah rang
tamam nikhaten idhar udhar bikhar gain
KHalaon mein
yaqin hai nahin nahin guman hai
wo koi mera dushman-e-qadim tha
dikha ke jo sarab meri pyas aur baDha gaya
main be-hisab aarzuon ka shikar
intiha-e-shauq mein fareb us ka kha gaya
guman nahin nahin yaqin hai
wo koi mera dost tha
jo do ghaDi ke waste hi kyun na ho
nazar ko rang dil ko nikhaton se bhar gaya
pata nahin kidhar gaya
main is ko DhunDhta hua
tamam kaenat mein
udhar udhar bikhar gaya
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 569)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.