patang uDane se pahle
patañg uḌāne se pahle ye jaan lenā thā
ki is kī asal hai kyā aur māhiyat kyā hai
bahut nahīf sī do baañs kī khapancheñ haiñ
aur un se lipTā murabbe meñ nā-tavāñ kāġhaz
ye jis ke dam pe havā meñ kuleleñ bhartī hai
zarā sī zarb se vo Dor TuuT jaatī hai
patañg kaT ga.ī to is kā itnā ġham kyuuñ hai
patañg uḌāne se pahle ye jaan lenā thā
ki is kī asal hai kyā aur māhiyat kyā hai
patang uDane se pahle ye jaan lena tha
ki is ki asal hai kya aur mahiyat kya hai
bahut nahif si do bans ki khapanchen hain
aur un se lipTa murabbe mein na-tawan kaghaz
ye jis ke dam pe hawa mein kulelen bharti hai
zara si zarb se wo Dor TuT jati hai
patang kaT gai to is ka itna gham kyun hai
patang uDane se pahle ye jaan lena tha
ki is ki asal hai kya aur mahiyat kya hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 82)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.