pathar
tire nikhre hue jalvoñ ne dī thī raushnī mujh ko
tire rañgīñ ishāroñ ne mujhe jiinā sikhāyā thā
qasam khaa.ī thī tū ne zindagī bhar saath dene kī
baḌe hī naaz se tū ne mujhe apnā banāyā thā
magar pachhtā rahā huuñ ab tirī be-e'tinā.ī par
ki maiñ ne kyuuñ mohabbat kā sunahrā zaḳhm khāyā thā
tirā paikar tirī bāñheñ tirī āñkheñ tirī palkeñ
tire aariz tirī zulfeñ tire shāne kisī ke haiñ
mirā kuchh bhī nahīñ is zindagī ke bāda-ḳhāne meñ
ye ḳhum ye jaam ye shīshe ye paimāne kisī ke haiñ
banāyā thā jinheñ rañgīn apne ḳhuun se maiñ ne
vo afsāne nahīñ mere vo afsāne kisī ke haiñ
kisī ne sone chāñdī se tire dil ko ḳharīdā hai
kisī ne tere dil kī dhaḌkanoñ ke giit gaa.e haiñ
kisī zālim ne luuTā hai tire jalvoñ kī jannat ko
magar maiñ ne tirī yādoñ se vīrāne sajā.e haiñ
kabhī jin par mohabbat kā muqaddar naaz kartā thā
vo yādeñ bhī nahīñ apnī vo sapne bhī parā.e haiñ
kise ma.alūm thā manzil hī mujh se ruuTh jā.egī
laraz kar TuuT jā.eñge mirī qismat ke sayyāre
sar-e-bāzār bik jā.egī tere pyaar kī azmat
chaleñge ishq ke hassās dil par zulm ke aare
baḌe armān se maiñ ne chunā thā jin ko dāman meñ
kise ma.alūm thā vo phuul ban jā.eñge añgāre
jahāñ tū hai vahāñ haiñ nuqra.ī sāzoñ kī jhankāreñ
jahāñ maiñ huuñ vahāñ chīḳheñ haiñ fariyādeñ haiñ naale haiñ
mirī duniyā meñ ġham hī ġham haiñ tārīkī hī tārīkī
tirī duniyā meñ naġhme haiñ bahāreñ haiñ ujāle haiñ
mirī jholī meñ kañkar haiñ tirī āġhosh meñ hiire
tire pairoñ meñ paa.el hai mire pairoñ meñ chhāle haiñ
maiñ jab bhī ġhaur kartā huuñ tirī is bevafā.ī par
to ġham kī aag meñ mehr-o-vafā ke phuul jalte haiñ
na fariyādoñ se zanjīroñ kī kaḌiyāñ TuuT saktī haiñ
na ashkoñ se nizām-e-vaqt ke tevar badalte haiñ
maiñ bhar saktā huuñ terī yaad meñ hasrat bharī aa.heñ
magar aahoñ kī garmī se kahīñ patthar pighalte haiñ
tere nikhre hue jalwon ne di thi raushni mujh ko
tere rangin ishaaron ne mujhe jina sikhaya tha
qasam khai thi tu ne zindagi bhar sath dene ki
baDe hi naz se tu ne mujhe apna banaya tha
magar pachhta raha hun ab teri be-e'tinai par
ki main ne kyun mohabbat ka sunahra zaKHm khaya tha
tera paikar teri banhen teri aankhen teri palken
tere aariz teri zulfen tere shane kisi ke hain
mera kuchh bhi nahin is zindagi ke baada-KHane mein
ye KHum ye jam ye shishe ye paimane kisi ke hain
banaya tha jinhen rangin apne KHun se main ne
wo afsane nahin mere wo afsane kisi ke hain
kisi ne sone chandi se tere dil ko KHarida hai
kisi ne tere dil ki dhaDkanon ke git gae hain
kisi zalim ne luTa hai tere jalwon ki jannat ko
magar main ne teri yaadon se virane sajae hain
kabhi jin par mohabbat ka muqaddar naz karta tha
wo yaaden bhi nahin apni wo sapne bhi parae hain
kise malum tha manzil hi mujh se ruTh jaegi
laraz kar TuT jaenge meri qismat ke sayyare
sar-e-bazar bik jaegi tere pyar ki azmat
chalenge ishq ke hassas dil par zulm ke aare
baDe arman se main ne chuna tha jin ko daman mein
kise malum tha wo phul ban jaenge angare
jahan tu hai wahan hain nuqrai sazon ki jhankaren
jahan main hun wahan chiKHen hain fariyaaden hain nale hain
meri duniya mein gham hi gham hain tariki hi tariki
teri duniya mein naghme hain bahaaren hain ujale hain
meri jholi mein kankar hain teri aaghosh mein hire
tere pairon mein pael hai mere pairon mein chhaale hain
main jab bhi ghaur karta hun teri is bewafai par
to gham ki aag mein mehr-o-wafa ke phul jalte hain
na fariyaadon se zanjiron ki kaDiyan TuT sakti hain
na ashkon se nizam-e-waqt ke tewar badalte hain
main bhar sakta hun teri yaad mein hasrat bhari aahen
magar aahon ki garmi se kahin patthar pighalte hain
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 19)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.