pathraw
dard thamtā bhī nahīñ
had se guzartā bhī nahīñ
bhuul kar tujh ko ajab haal huā hai dil kā
sāl-hā-sāl se dil
mundamil hotā huā ghaav hai
Dūbtī hai koī hasrat na ubhartī hai umiid
bahr-e-ālām meñ tūfāñ hai na Thahrāv hai
ufuq-e-zīst pe tal.at hai na tārīkī hai
duur tak dhund kā mauhūm sā kajrāo hai
sāhil-e-chashm pe taare haiñ na motī haiñ na ashk
soch kā haath hai ehsās kā pathrāv hai
Dūbtī bhī nahīñ sīdhī bhī nahīñ hotī hai
umr kī lahr pe jaañ ulTī huī naav hai
taḳhtiyāñ jis kī tire pyaar se paivasta haiñ
bādbāñ jis kā mire saañs kā phailāv hai
saañs ruktā bhī nahīñ
Thiik se chaltā bhī nahīñ
bhuul kar tujh ko ajab haal hai dil kā
dard thamta bhi nahin
had se guzarta bhi nahin
bhul kar tujh ko ajab haal hua hai dil ka
sal-ha-sal se dil
mundamil hota hua ghaw hai
Dubti hai koi hasrat na ubharti hai umid
bahr-e-alam mein tufan hai na Thahraw hai
ufuq-e-zist pe talat hai na tariki hai
dur tak dhund ka mauhum sa kajrao hai
sahil-e-chashm pe tare hain na moti hain na ashk
soch ka hath hai ehsas ka pathraw hai
Dubti bhi nahin sidhi bhi nahin hoti hai
umr ki lahr pe jaan ulTi hui naw hai
taKHtiyan jis ki tere pyar se paiwasta hain
baadban jis ka mere sans ka phailaw hai
sans rukta bhi nahin
Thik se chalta bhi nahin
bhul kar tujh ko ajab haal hai dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.