Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pathraw ki chaumukh barkha mein

Shaz Tamkanat

pathraw ki chaumukh barkha mein

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    maiñ zaḳhmī zaḳhmī lahū lahū

    har jañgal har ābādī meñ

    kāñToñ ke nukīle rastoñ par

    phūloñ rū-pahlī vaadī meñ

    har shahr meñ har vīrāne meñ

    koī to ḳharīdār aa.egā

    maqtal sunahrī chaukhaT tak

    bismil taraf-dār aa.egā

    ik aas liye ummīd liye

    dāman meñ mah-o-ḳhurshīd liye

    pathrāv chaumukh barkhā meñ

    ḳhvāboñ ko bachātā phirtā huuñ

    be-rahm haqīqat miltī hai

    maiñ aañkh churātā phirtā huuñ

    *

    aksar ye tamannā jaagī hai

    goyā maiñ chahaktā bālak huuñ

    titlī ke rañgīñ pañkhoñ par

    lalchā.e hue ban ban ghūmūñ

    har kunj meñ ḳhushbū kar

    ganjār meñ bhauñroñ jhūmūñ

    har bhūre bha.e har sāñjh bha.e

    chahkār meñ chiḌiyoñ dolūñ

    fitrat saḳhī to koī nahīñ

    nazroñ dhanī to koī nahīñ

    ye peḌ ye parbat ye sāgar

    dhartī pe khilaune rakhe haiñ

    ye dariyā parteñ chāñdī

    amrit ke done rakkhe haiñ

    maiñ amrit piine ruktā huuñ

    dariyā ke taT par chhā.īñ

    phunkārtī hai Das jaatī hai

    ḳhvāboñ se mujhe chauñkātī hai

    aksar ye gumāñ hotā hai mujhe

    maiñ ek chamaktā jugnūñ huuñ

    shabnam nannhī būñdoñ ko

    phūloñ ghar dikhlātā huuñ

    maiñ shab ke añdhere siine meñ

    nekī kiran ban jaatā huuñ

    jab pau raushnī aatī hai

    phunkārtī hai Das jaatī hai

    ḳhvāboñ se mujhe chauñkātī hai

    *

    aksar ye gumāñ hotā hai mujhe

    but-sāz huuñ maiñ har patthar se

    derīna-shanāsā.ī hai mirī

    chalātā hai koī andar se

    har sañkh meñ ik but-ḳhāna hai

    jis shai ko patthar kahte haiñ

    vo sūrat bai.āna hai

    har sañg se phir but Dhalte haiñ

    har but ko zabāñ mil jaatī hai

    maiñ pahroñ un suntā huuñ

    ḳhush hotā huuñ sar dhuntā huuñ

    duniyā ko magar fursat kahāñ

    āvāz mirī ghaT jaatī hai

    ḳhvāboñ se mujhe chauñkātī hai

    *

    dānāoñ is nagrī meñ

    ye bahkī bahkī kaun sune

    sar chīḳh phāñsī par ho jahāñ

    sar ḳhāmoshī par kaun dhune

    maiñ kisī bastī baasī huuñ

    kyā kahtā huuñ kyā suntā huuñ

    in gītoñ ke khaliyānoñ se

    kyuuñ motī motī chintā huuñ

    pathrāv chaumukh barkhā meñ

    har motī TūTtā jaatā hai

    ḳhvāboñ se mujhe chauñkātā hai

    main zaKHmi zaKHmi lahu lahu

    har jangal har aabaadi mein

    kanTon ke nukile raston par

    phulon ki ru-pahli wadi mein

    har shahr mein har virane mein

    koi to KHaridar aaega

    maqtal ki sunahri chaukhaT tak

    bismil ka taraf-dar aaega

    ek aas liye ummid liye

    daman mein mah-o-KHurshid liye

    pathraw ki chaumukh barkha mein

    KHwabon ko bachata phirta hun

    be-rahm haqiqat milti hai

    main aankh churaata phirta hun

    *

    aksar ye tamanna jagi hai

    goya main chahakta baalak hun

    titli ke rangin pankhon par

    lalchae hue ban ban ghumun

    har kunj mein KHushbu pi pi kar

    ganjar mein bhaunron ki jhumun

    har bhure bhae har sanjh bhae

    chahkar mein chiDiyon ki dolun

    fitrat sa saKHi to koi nahin

    nazron sa dhani to koi nahin

    ye peD ye parbat ye sagar

    dharti pe khilaune rakhe hain

    ye dariya parten chandi ki

    amrit ke done rakkhe hain

    main amrit pine rukta hun

    dariya ke taT par chhain

    phunkarti hai Das jati hai

    KHwabon se mujhe chaunkati hai

    aksar ye guman hota hai mujhe

    main ek chamakta jugnun hun

    shabnam ki nannhi bundon ko

    phulon ka ghar dikhlata hun

    main shab ke andhere sine mein

    neki ki kiran ban jata hun

    jab pau ki raushni aati hai

    phunkarti hai Das jati hai

    KHwabon se mujhe chaunkati hai

    *

    aksar ye guman hota hai mujhe

    but-saz hun main har patthar se

    derina-shanasai hai meri

    chalata hai koi andar se

    har sankh mein ek but-KHana hai

    jis shai ko patthar kahte hain

    wo surat ka baiana hai

    har sang se phir but Dhalte hain

    har but ko zaban mil jati hai

    main pahron un ki sunta hun

    KHush hota hun sar dhunta hun

    duniya ko magar fursat hi kahan

    aawaz meri ghaT jati hai

    KHwabon se mujhe chaunkati hai

    *

    danaon ki is nagri mein

    ye bahki bahki kaun sune

    sar chiKH ki phansi par ho jahan

    sar KHamoshi par kaun dhune

    main kisi basti ka basi hun

    kya kahta hun kya sunta hun

    in giton ke khaliyanon se

    kyun moti moti chinta hun

    pathraw ki chaumukh barkha mein

    har moti TuTta jata hai

    KHwabon se mujhe chaunkata hai

    Source :
    • Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 525)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now