patte par likhi kahani
agar merī āñkheñ mujhe dhokā nahīñ de rahīñ
to is patte par ek kahānī likhī huī hai
mere dostoñ kā mashvara hai
mujhe kisī eye specialist ko consult karnā chāhiye
merā ḳhayāl hai
log kahānī kahnā sunñā bhuul chuke haiñ
ab ghar se sahn aur sehnoñ se gulāb ruḳhsat ho ga.e haiñ
āsmān ke khet meñ sitāre nahīñ ugte
mere dostoñ ko patte par likhī kahānī nazar nahīñ aatī
lagtā hai ye kahānī
kisī qadīm zabān meñ likhī huī hai
aur zabānoñ se hamārā ta'alluq
mahaz lisānī fasādāt kī had tak baaqī rah gayā hai
agar meri aankhen mujhe dhoka nahin de rahin
to is patte par ek kahani likhi hui hai
mere doston ka mashwara hai
mujhe kisi eye specialist ko consult karna chahiye
mera KHayal hai
log kahani kahna sunna bhul chuke hain
ab ghar se sahn aur sehnon se gulab ruKHsat ho gae hain
aasman ke khet mein sitare nahin ugte
mere doston ko patte par likhi kahani nazar nahin aati
lagta hai ye kahani
kisi qadim zaban mein likhi hui hai
aur zabanon se hamara ta'alluq
mahaz lisani fasadat ki had tak baqi rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.