maiñ ik ma.asūm shahrī thā
sharāfat se sabhī ke saath rahtā thā
mohazzab taur se jiitā thā
sab ke kaam aatā thā
kabhī maiñ ne kisī kā dil nahīñ toḌā
kisī kā sar nahīñ phoḌā
kisī tarkash se koī tiir kyā tinkā nahīñ chhoḌā
kisī kī piiTh meñ ḳhanjar nahīñ bhoñkā
kisī ke jism par bārūd kā golā nahīñ pheñkā
kisī ko aag meñ maiñ ne nahīñ jhoñkā
kisī kā haq nahīñ maarā
kisī kā zar nahīñ luuTā
koī ḳhirman nahīñ phūñkā
kisī building kisī gaaḌī kisī mahfil meñ koī bam nahīñ rakkhā
mire hāthoñ kisī kā ghar nahīñ ujḌā
kisī kā dar nahīñ ukhḌā
koī kumba nahīñ bikhrā
koī māthā nahīñ sikuḌā
kisī kī raah meñ roḌā nahīñ aTkā
kisī ke kaam meñ maiñ ne kabhī raḳhna nahīñ Daalā
kisī ke vāste dil meñ kabhī kiina nahīñ paalā
koī farmān hākim kā kabhī maiñ ne nahīñ Taalā
koī gherā nahīñ lāñghā
koī āñgan nahīñ phāñdā
magar phir bhī qayāmat mujh pe TuuTī hai
ajab ġhārat-garī kā qahr barsā hai
ajab saffāk ḳhanjar dil meñ utrā hai
ki merī ruuh ab tak tilmilātī hai
ki merā zehn ab bhī jhunjhunātā hai
ki merī saañs ab bhī laḌkhaḌātī hai
samajh meñ kuchh nahīñ aatā
ki maiñ ne kyā bigāḌā hai
mire kis jurm kī mujh ko milī hai
ye sazā āḳhir
ye gutthī kis tarah kholūñ
sabab kis se yahāñ pūchhūñ
kidhar jā.ūñ
kise rokūñ
sabhī chehre yahāñ patthar
sabhī āñkheñ yahāñ patthar
basārat meñ bharā patthar
samā.at meñ basā patthar
zabānoñ meñ gaḌā patthar
adālat meñ khaḌā patthar
har ik qānūn meñ patthar
har ik aa.iin meñ patthar
har ik insāf meñ patthar
har ik āvāz meñ patthar
har ik ehsās meñ patthar
ye patthar yug ke patthar se bhī bhārī hai
nagīne kī tarah tarshā huā hai
aur hiire kī anī kī tarah us kī tez nokeñ haiñ
bahut shaffāf hai ye aur is meñ ik tamaddun hai
maiñ is patthar se sar phoḌūñ
ki apnī zindagī chhoḌūñ
ki apnā rāsta moḌūñ
ki ban jā.ūñ maiñ ḳhud patthar
samajh meñ kuchh nahīñ aatā
main ek masum shahri tha
sharafat se sabhi ke sath rahta tha
mohazzab taur se jita tha
sab ke kaam aata tha
kabhi main ne kisi ka dil nahin toDa
kisi ka sar nahin phoDa
kisi tarkash se koi tir kya tinka nahin chhoDa
kisi ki piTh mein KHanjar nahin bhonka
kisi ke jism par barud ka gola nahin phenka
kisi ko aag mein main ne nahin jhonka
kisi ka haq nahin mara
kisi ka zar nahin luTa
koi KHirman nahin phunka
kisi building kisi gaDi kisi mahfil mein koi bam nahin rakkha
mere hathon kisi ka ghar nahin ujDa
kisi ka dar nahin ukhDa
koi kumba nahin bikhra
koi matha nahin sikuDa
kisi ki rah mein roDa nahin aTka
kisi ke kaam mein main ne kabhi raKHna nahin Dala
kisi ke waste dil mein kabhi kina nahin pala
koi farman hakim ka kabhi main ne nahin Tala
koi ghera nahin langha
koi aangan nahin phanda
magar phir bhi qayamat mujh pe TuTi hai
ajab ghaarat-gari ka qahr barsa hai
ajab saffak KHanjar dil mein utra hai
ki meri ruh ab tak tilmilati hai
ki mera zehn ab bhi jhunjhunata hai
ki meri sans ab bhi laDkhaDati hai
samajh mein kuchh nahin aata
ki main ne kya bigaDa hai
mere kis jurm ki mujh ko mili hai
ye saza aaKHir
ye gutthi kis tarah kholun
sabab kis se yahan puchhun
kidhar jaun
kise rokun
sabhi chehre yahan patthar
sabhi aankhen yahan patthar
basarat mein bhara patthar
samaat mein basa patthar
zabanon mein gaDa patthar
adalat mein khaDa patthar
har ek qanun mein patthar
har ek aain mein patthar
har ek insaf mein patthar
har ek aawaz mein patthar
har ek ehsas mein patthar
ye patthar yug ke patthar se bhi bhaari hai
nagine ki tarah tarsha hua hai
aur hire ki ani ki tarah us ki tez noken hain
bahut shaffaf hai ye aur is mein ek tamaddun hai
main is patthar se sar phoDun
ki apni zindagi chhoDun
ki apna rasta moDun
ki ban jaun main KHud patthar
samajh mein kuchh nahin aata
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 130)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.